"hotaa fankaar-e-jadid aur na shaa'ir hotaa laghv be-bahr khayaalaat kaa mazhar hotaa aur baDh jaati jo ibhaam ki nudrat mujh mein ahd-e-nau ke kisi firqe kaa payambar hotaa kuchh to miltaa mujhe dushnaam-taraazi hi sahi khuub hotaa jo main dushman ke baraabar hotaa kaahe ko dasht mein chubhne ke liye rah jaataa phuul hotaa kisi gulshan kaa gul-e-tar hotaa mujh pe bhi tesha-e-ulfat ki 'inaayat hoti kaash ke main bhi kisi koh kaa patthar hotaa yuun taraashe hain sanam kufr ke is duniyaa ne but-shikan hotaa jo is daur mein 'aazar' hotaa khinch detaa main zamaane pe mohabbat ke nuqush mere qabze mein agar khaama-e-shahpar hotaa apni khaliq kaa mafhum samajh paataa agar daaera hotaa jahaan aur main mehvar hotaa log mujh ko bhi shahid-e-gham-e-dauraan kahte neza-e-vaqt pe goyaa jo miraa sar hotaa dasht ki aab-o-havaa ne diyaa kaanTon kaa libaas main bahaaron mein jo paltaa gul-e-ahmar hotaa khuun mazdur kaa miltaa jo na taamiron mein na haveli na mahal aur na koi ghar hotaa tishna-lab koi bhi duniyaa mein nahin rah paataa meri aankhon ke jo qabze mein samundar hotaa"
mataa-e-dard kaa khugar miri talaash mein hai — Haidar Ali Jafri
"mataa-e-dard kaa khugar miri talaash mein hai kisi kaa bhejaa payambar miri talaash mein hai huun main hi nuqta-e-aaghaaz ikhtitaam-e-hisaar har ik hisaar kaa mehvar miri talaash mein hai mili hai auj khudi ko yaqin-e-mohkam se sunaa hai marzi-e-daavar miri talaash mein hai vo ek sai jise kahte hain ham sabhi idraak vo mere jism ke andar miri talaash mein hai sabhi to dost hain kyuun shak abas huaa mujh ko kisi ke haath kaa patthar miri talaash mein hai mire khudaa main huun tujh se panaah kaa taalib mire gunaahon kaa lashkar miri talaash mein hai mire hi lams se ghunchon ne paai shaadaabi chaman mein khiltaa gul-e-tar miri talaash mein hai kahin se sun liyaa hai meri pyaas kaa charchaa tabhi se pyaasaa samundar miri talaash mein hai lagaa hai sochne ahd-e-ravaan kaa 'marhab' bhi bachungaa kis tarah 'haidar' miri talaash mein hai"
متاع درد کا خوگر مری تلاش میں ہے کسی کا بھیجا پیمبر مری تلاش میں ہے ہوں میں ہی نقطۂ آغاز اختتام حصار ہر اک حصار کا محور مری تلاش میں ہے ملی ہے اوج خودی کو یقین محکم سے سنا ہے مرضیٔ داور مری تلاش میں ہے وہ ایک سعی جسے کہتے ہیں ہم سبھی ادراک وہ میرے جسم کے اندر مری تلاش میں ہے سبھی تو دوست ہیں کیوں شک عبث ہوا مجھ کو کسی کے ہاتھ کا پتھر مری تلاش میں ہے مرے خدا میں ہوں تجھ سے پناہ کا طالب مرے گناہوں کا لشکر مری تلاش میں ہے مرے ہی لمس سے غنچوں نے پائی شادابی چمن میں کھلتا گل تر مری تلاش میں ہے کہیں سے سن لیا ہے میری پیاس کا چرچا تبھی سے پیاسا سمندر مری تلاش میں ہے لگا ہے سوچنے عہد رواں کا مرحبؔ بھی بچوں گا کس طرح حیدرؔ مری تلاش میں ہے
मता-ए-दर्द का ख़ूगर मिरी तलाश में है किसी का भेजा पयम्बर मिरी तलाश में है हूँ मैं ही नुक़्ता-ए-आग़ाज़ इख़्तिताम-ए-हिसार हर इक हिसार का मेहवर मिरी तलाश में है मिली है औज ख़ुदी को यक़ीन-ए-मोहकम से सुना है मर्ज़ी-ए-दावर मिरी तलाश में है वो एक सई जिसे कहते हैं हम सभी इदराक वो मेरे जिस्म के अंदर मिरी तलाश में है सभी तो दोस्त हैं क्यूँ शक अबस हुआ मुझ को किसी के हाथ का पत्थर मिरी तलाश में है मिरे ख़ुदा मैं हूँ तुझ से पनाह का तालिब मिरे गुनाहों का लश्कर मिरी तलाश में है मिरे ही लम्स से ग़ुंचों ने पाई शादाबी चमन में खिलता गुल-ए-तर मिरी तलाश में है कहीं से सुन लिया है मेरी प्यास का चर्चा तभी से प्यासा समुंदर मिरी तलाश में है लगा है सोचने अहद-ए-रवाँ का 'मरहब' भी बचूँगा किस तरह 'हैदर' मिरी तलाश में है
More by Haidar Ali Jafri
View all →"asr-e-jadēd aayaa baDi dhum-dhaam se lekin shikast khaa gayaa pichhle nizaam se kartaa hai koi tark-e-taalluq bhi is tarah mahrum ho gayaa huun payaam-o-salaam se zardaar ke salaam mein sabqat sabhi ki hai mahrum muflisi hai jawab-e-salaam se kis ki sadaa fazaaon mein gunji hai chaar-su kis ne mujhe pukaaraa hai bachpan ke naam se bechainiyon mein raat guzarti hai is tarah aaseb koi gher le jaise ki shaam se ab baa-shuur log bhi ye sochne lage rakhnaa hai ham ko kaam faqat apne kaam se saffaakiyaan baDhin to darinda-sifat banaa insaan giraa hai aadamiyyat ke maqaam se baarish nahin hui to mujhe faaeda huaa mahfuz hai makaan miraa inhidaam se halki hansi ne fikr ko zau-baar kar diyaa phuTi kiran ki tarah lab-e-tashna-kaam se ye to hai fazl-e-rab ki tarannum huaa nasib lekin bayaaz khaali hai khud ke kalaam se"
"na sar chhupaane ko ghar thaa na aab-o-daana thaa zamaane bhar ki nigaahon kaa main nishaana thaa bhulaa na paayaa use jis ko bhuul jaanaa thaa vafaaon se miraa rishta bahut puraanaa thaa jo aks-e-ghair ki taabish mein DhunDtaa thaa jilaa us aaine ko bikharnaa thaa TuuT jaanaa thaa dariche maazi ke khulne lage to yaad aayaa yahin kahin kisi Daali pe aashiyaana thaa sile mein kyaa mujhe miltaa jo aur ruk jaataa tire khutut ko ik roz to jalaanaa thaa jahaan pe taair-e-fikr-e-sukhan ke par silte vahin pe aql-o-khirad kaa nayaa Thikaanaa thaa lahu kaa rang chaTaanon ke aabshaaron mein unhein nasheb mein dariyaa-e-khun bahaanaa thaa qabaa-e-surkh siyah baadalon ne oDhi thi kisi ke jurm se parda unhein uThaanaa thaa vo ek halke tabassum ki kaaT sah na sakaa sitam kaa vaar bhi kis darja buzdilaana thaa tamaam shorishein saffaakiyaan uruuj pe thiin bil-aakhir un ko adaalat se chhuT jaanaa thaa dukaan lagaae huun TuuTe hue khilaune ki ki bhultaa nahin bachpan bhi kyaa zamaana thaa"
"ishq ki anjuman ki baat karein phir kisi gul-badan ki baat karein bhuul bhi jaaein tirgi-e-hayaat muskuraati kiran ki baat karein is jahaan se khizaan kaa daur gayaa lahlahaate chaman ki baat karein kyaa zaruri hai ju-e-shir ki baat kyuun na gang-o-jaman ki baat karein surkh aanchal mein kasmasaai hui subh ki is dulhan ki baat karein saathiyo gaao inqilaabi giit aao daar-o-rasan ki baat karein"
"irtikaab-e-jurm shar ki baat hai aur bari honaa hunar ki baat hai ik kahaani hai ki sadiyon par muhit sochne mein dopahar ki baat hai aae Thahre aur ravaana ho gae zindagi kyaa hai, safar ki baat hai ek shoala saa lapak kar rah gayaa ye hayaat-e-mukhtasar ki baat hai naasehaa gar ho sake manzil pe mil zindagi to rah-guzar ki baat hai shaadi-o-gham par karein kyaa tabsira tere mere sab ke ghar ki baat hai raaste to hain magar manzil nahin kyaa hamaare raahbar ki baat hai ab to dukaanon pe bikti hai vafaa dosto ifraat-e-zar ki baat hai baal-o-par hote to kyuun hote asiir qaid mein kyuun baal-o-par ki baat hai mutmain koi nahin haalaat se shaam ke lab par sahar ki baat hai har qavi ko hai vahaan jaane kaa haq dasht ki aur bahr-o-bar ki baat hai murdani zaail ho yaa baaqi rahe ye tire husn-e-nazar ki baat hai"
More on Khudi
View all →"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
"tire jamaal se ham runumaa nahin hue hain chamak rahe hain magar aaina nahin hue hain dhaDak rahaa hai tu ik ism ki hai ye barakat vagarna vaaqiye is dil mein kyaa nahin hue hain bataa na paaein to khud tum samajh hi jaao ki ham bilaa javaaz to be-maajraa nahin hue hain tiraa kamaal ki aankhon mein kuchh zabaan pe kuchh hamein to moajize aise ataa nahin hue hain ye mat samajh ki koi tujh se munharif hi nahin abhi ham ahl-e-junun lab-kushaa nahin hue hain ba-naam-e-zauq-e-sukhan khud-numaai aap karein ham is maraz mein abhi mubtalaa nahin hue hain hami vo jin kaa safar maavaraa-e-vaqt-o-vajud hami vo khud se kabhi jo rihaa nahin hue hain khud-aagahi bhi khaDi maangti hai apnaa hisaab junun ke qarz bhi ab tak adaa nahin hue hain kisi ne dil jo dukhaayaa kabhi to ham 'irfaan' udaas ho gae lekin khafaa nahin hue hain"