"hotaa fankaar-e-jadid aur na shaa'ir hotaa laghv be-bahr khayaalaat kaa mazhar hotaa aur baDh jaati jo ibhaam ki nudrat mujh mein ahd-e-nau ke kisi firqe kaa payambar hotaa kuchh to miltaa mujhe dushnaam-taraazi hi sahi khuub hotaa jo main dushman ke baraabar hotaa kaahe ko dasht mein chubhne ke liye rah jaataa phuul hotaa kisi gulshan kaa gul-e-tar hotaa mujh pe bhi tesha-e-ulfat ki 'inaayat hoti kaash ke main bhi kisi koh kaa patthar hotaa yuun taraashe hain sanam kufr ke is duniyaa ne but-shikan hotaa jo is daur mein 'aazar' hotaa khinch detaa main zamaane pe mohabbat ke nuqush mere qabze mein agar khaama-e-shahpar hotaa apni khaliq kaa mafhum samajh paataa agar daaera hotaa jahaan aur main mehvar hotaa log mujh ko bhi shahid-e-gham-e-dauraan kahte neza-e-vaqt pe goyaa jo miraa sar hotaa dasht ki aab-o-havaa ne diyaa kaanTon kaa libaas main bahaaron mein jo paltaa gul-e-ahmar hotaa khuun mazdur kaa miltaa jo na taamiron mein na haveli na mahal aur na koi ghar hotaa tishna-lab koi bhi duniyaa mein nahin rah paataa meri aankhon ke jo qabze mein samundar hotaa"
irtikaab-e-jurm shar ki baat hai — Haidar Ali Jafri
"irtikaab-e-jurm shar ki baat hai aur bari honaa hunar ki baat hai ik kahaani hai ki sadiyon par muhit sochne mein dopahar ki baat hai aae Thahre aur ravaana ho gae zindagi kyaa hai, safar ki baat hai ek shoala saa lapak kar rah gayaa ye hayaat-e-mukhtasar ki baat hai naasehaa gar ho sake manzil pe mil zindagi to rah-guzar ki baat hai shaadi-o-gham par karein kyaa tabsira tere mere sab ke ghar ki baat hai raaste to hain magar manzil nahin kyaa hamaare raahbar ki baat hai ab to dukaanon pe bikti hai vafaa dosto ifraat-e-zar ki baat hai baal-o-par hote to kyuun hote asiir qaid mein kyuun baal-o-par ki baat hai mutmain koi nahin haalaat se shaam ke lab par sahar ki baat hai har qavi ko hai vahaan jaane kaa haq dasht ki aur bahr-o-bar ki baat hai murdani zaail ho yaa baaqi rahe ye tire husn-e-nazar ki baat hai"
ارتکاب جرم شر کی بات ہے اور بری ہونا ہنر کی بات ہے اک کہانی ہے کہ صدیوں پر محیط سوچنے میں دوپہر کی بات ہے آئے ٹھہرے اور روانہ ہو گئے زندگی کیا ہے، سفر کی بات ہے ایک شعلہ سا لپک کر رہ گیا یہ حیات مختصر کی بات ہے ناصحا گر ہو سکے منزل پہ مل زندگی تو رہگزر کی بات ہے شادی و غم پر کریں کیا تبصرہ تیرے میرے سب کے گھر کی بات ہے راستے تو ہیں مگر منزل نہیں کیا ہمارے راہ بر کی بات ہے اب تو دوکانوں پہ بکتی ہے وفا دوستو افراط زر کی بات ہے بال و پر ہوتے تو کیوں ہوتے اسیر قید میں کیوں بال و پر کی بات ہے مطمئن کوئی نہیں حالات سے شام کے لب پر سحر کی بات ہے ہر قوی کو ہے وہاں جانے کا حق دشت کی اور بحر و بر کی بات ہے مردنی زائل ہو یا باقی رہے یہ ترے حسن نظر کی بات ہے
इर्तिकाब-ए-जुर्म शर की बात है और बरी होना हुनर की बात है इक कहानी है कि सदियों पर मुहीत सोचने में दोपहर की बात है आए ठहरे और रवाना हो गए ज़िंदगी क्या है, सफ़र की बात है एक शोला सा लपक कर रह गया ये हयात-ए-मुख़्तसर की बात है नासेहा गर हो सके मंज़िल पे मिल ज़िंदगी तो रह-गुज़र की बात है शादी-ओ-ग़म पर करें क्या तब्सिरा तेरे मेरे सब के घर की बात है रास्ते तो हैं मगर मंज़िल नहीं क्या हमारे राहबर की बात है अब तो दूकानों पे बिकती है वफ़ा दोस्तो इफ़रात-ए-ज़र की बात है बाल-ओ-पर होते तो क्यूँ होते असीर क़ैद में क्यूँ बाल-ओ-पर की बात है मुतमइन कोई नहीं हालात से शाम के लब पर सहर की बात है हर क़वी को है वहाँ जाने का हक़ दश्त की और बहर-ओ-बर की बात है मुर्दनी ज़ाइल हो या बाक़ी रहे ये तिरे हुस्न-ए-नज़र की बात है
More by Haidar Ali Jafri
View all →"mataa-e-dard kaa khugar miri talaash mein hai kisi kaa bhejaa payambar miri talaash mein hai huun main hi nuqta-e-aaghaaz ikhtitaam-e-hisaar har ik hisaar kaa mehvar miri talaash mein hai mili hai auj khudi ko yaqin-e-mohkam se sunaa hai marzi-e-daavar miri talaash mein hai vo ek sai jise kahte hain ham sabhi idraak vo mere jism ke andar miri talaash mein hai sabhi to dost hain kyuun shak abas huaa mujh ko kisi ke haath kaa patthar miri talaash mein hai mire khudaa main huun tujh se panaah kaa taalib mire gunaahon kaa lashkar miri talaash mein hai mire hi lams se ghunchon ne paai shaadaabi chaman mein khiltaa gul-e-tar miri talaash mein hai kahin se sun liyaa hai meri pyaas kaa charchaa tabhi se pyaasaa samundar miri talaash mein hai lagaa hai sochne ahd-e-ravaan kaa 'marhab' bhi bachungaa kis tarah 'haidar' miri talaash mein hai"
"asr-e-jadēd aayaa baDi dhum-dhaam se lekin shikast khaa gayaa pichhle nizaam se kartaa hai koi tark-e-taalluq bhi is tarah mahrum ho gayaa huun payaam-o-salaam se zardaar ke salaam mein sabqat sabhi ki hai mahrum muflisi hai jawab-e-salaam se kis ki sadaa fazaaon mein gunji hai chaar-su kis ne mujhe pukaaraa hai bachpan ke naam se bechainiyon mein raat guzarti hai is tarah aaseb koi gher le jaise ki shaam se ab baa-shuur log bhi ye sochne lage rakhnaa hai ham ko kaam faqat apne kaam se saffaakiyaan baDhin to darinda-sifat banaa insaan giraa hai aadamiyyat ke maqaam se baarish nahin hui to mujhe faaeda huaa mahfuz hai makaan miraa inhidaam se halki hansi ne fikr ko zau-baar kar diyaa phuTi kiran ki tarah lab-e-tashna-kaam se ye to hai fazl-e-rab ki tarannum huaa nasib lekin bayaaz khaali hai khud ke kalaam se"
"na sar chhupaane ko ghar thaa na aab-o-daana thaa zamaane bhar ki nigaahon kaa main nishaana thaa bhulaa na paayaa use jis ko bhuul jaanaa thaa vafaaon se miraa rishta bahut puraanaa thaa jo aks-e-ghair ki taabish mein DhunDtaa thaa jilaa us aaine ko bikharnaa thaa TuuT jaanaa thaa dariche maazi ke khulne lage to yaad aayaa yahin kahin kisi Daali pe aashiyaana thaa sile mein kyaa mujhe miltaa jo aur ruk jaataa tire khutut ko ik roz to jalaanaa thaa jahaan pe taair-e-fikr-e-sukhan ke par silte vahin pe aql-o-khirad kaa nayaa Thikaanaa thaa lahu kaa rang chaTaanon ke aabshaaron mein unhein nasheb mein dariyaa-e-khun bahaanaa thaa qabaa-e-surkh siyah baadalon ne oDhi thi kisi ke jurm se parda unhein uThaanaa thaa vo ek halke tabassum ki kaaT sah na sakaa sitam kaa vaar bhi kis darja buzdilaana thaa tamaam shorishein saffaakiyaan uruuj pe thiin bil-aakhir un ko adaalat se chhuT jaanaa thaa dukaan lagaae huun TuuTe hue khilaune ki ki bhultaa nahin bachpan bhi kyaa zamaana thaa"
"ishq ki anjuman ki baat karein phir kisi gul-badan ki baat karein bhuul bhi jaaein tirgi-e-hayaat muskuraati kiran ki baat karein is jahaan se khizaan kaa daur gayaa lahlahaate chaman ki baat karein kyaa zaruri hai ju-e-shir ki baat kyuun na gang-o-jaman ki baat karein surkh aanchal mein kasmasaai hui subh ki is dulhan ki baat karein saathiyo gaao inqilaabi giit aao daar-o-rasan ki baat karein"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"