"aah ke tiin dil-e-hairaan-o-khafaa ko saunpaa main ne ye ghuncha-e-tasvir sabaa ko saunpaa tere kuche mein miri khaak bhi paamaal hui thaa vo be-dard mujhe jin ne vafaa ko saunpaa ab to jaataa hi hai kaa'be ko to but-khaane se jald phir pahunchiyo ai 'mir' khudaa ko saunpaa"
khat likh ke koi saada na us ko malul ho — Meer Taqi Meer
"khat likh ke koi saada na us ko malul ho ham to huun bad-gumaan jo qaasid-e-rasul ho chaahun to bhar ke kauli uThaa luun abhi tumhein kaise hi bhaari ho mire aage to phuul ho surma jo nuur bakhshe hai aankhon ko khalq ki shaayad ki raah-e-yaar ki hi khaak dhuul ho jaavein nisaar hone ko ham kis bisaat par ik niim jaan rakhein hain so vo jab qubul ho ham in dinon mein lag nahin paDte hain subh-o-shaam varna du'aa karein to jo chaahein husul ho dil le ke launDe dilli ke kab kaa pachaa gae ab un se khaai pi hui shai kyaa vasul ho naakaam is liye ho ki chaaho ho sab kuchh aaj tum bhi to 'mir' saahib-o-qibla ajuul ho"
خط لکھ کے کوئی سادہ نہ اس کو ملول ہو ہم تو ہوں بد گمان جو قاصد رسول ہو چاہوں تو بھر کے کولی اٹھا لوں ابھی تمہیں کیسے ہی بھاری ہو مرے آگے تو پھول ہو سرمہ جو نور بخشے ہے آنکھوں کو خلق کی شاید کہ راہ یار کی ہی خاک دھول ہو جاویں نثار ہونے کو ہم کس بساط پر اک نیم جاں رکھیں ہیں سو وہ جب قبول ہو ہم ان دنوں میں لگ نہیں پڑتے ہیں صبح و شام ورنہ دعا کریں تو جو چاہیں حصول ہو دل لے کے لونڈے دلی کے کب کا پچا گئے اب ان سے کھائی پی ہوئی شے کیا وصول ہو ناکام اس لیے ہو کہ چاہو ہو سب کچھ آج تم بھی تو میرؔ صاحب و قبلہ عجول ہو
ख़त लिख के कोई सादा न उस को मलूल हो हम तो हूँ बद-गुमान जो क़ासिद-ए-रसूल हो चाहूँ तो भर के कौली उठा लूँ अभी तुम्हें कैसे ही भारी हो मिरे आगे तो फूल हो सुर्मा जो नूर बख़्शे है आँखों को ख़ल्क़ की शायद कि राह-ए-यार की ही ख़ाक धूल हो जावें निसार होने को हम किस बिसात पर इक नीम जाँ रखें हैं सो वो जब क़ुबूल हो हम इन दिनों में लग नहीं पड़ते हैं सुब्ह-ओ-शाम वर्ना दु'आ करें तो जो चाहें हुसूल हो दिल ले के लौंडे दिल्ली के कब का पचा गए अब उन से खाई पी हुई शय क्या वसूल हो नाकाम इस लिए हो कि चाहो हो सब कुछ आज तुम भी तो 'मीर' साहिब-ओ-क़िबला अजूल हो

More by Meer Taqi Meer
View all →"jab junun se hamein tavassul thaa apni zanjir-e-paa hi kaa ghul thaa bistara thaa chaman mein jon bulbul naala sarmaaya-e-tavakkul thaa yak nigah ko vafaa na ki goyaa mausam-e-gul safir-e-bulbul thaa un ne pahchaan kar hamein maaraa munh na karnaa idhar tajaahul thaa shahr mein jo nazar paDaa us kaa kushta-e-naaz yaa taghaaful thaa ab to dil ko na taab hai na qaraar yaad-e-ayyaam jab tahammul thaa jaa phansaa daam-e-zulf mein aakhir dil nihaayat hi be-taammul thaa yuun gai qad ke kham hue jaise umr ik rahrav sar-e-pul thaa khuub daryaaft jo kiyaa ham ne vaqt-e-khush 'mir' nikhat-e-gul thaa"
"sair ke qaabil hai dil-sad-paara us nakhchir kaa jis ke har TukDe mein ho paivast paikaan tiir kaa sab khulaa baagh-e-jahaan illaa ye hairaan-o-khafaa jis ko dil samjhe the ham so ghuncha thaa tasvir kaa bu-e-khun se ji rukaa jaataa hai ai baad-e-bahaar ho gayaa hai chaak dil shaayad kaso dil-gir kaa kyunke naqqaash-e-azal ne naqsh abru kaa kiyaa kaam hai ik tere munh par khinchnaa shamshir kaa rahguzar sail-e-havaadis kaa hai be-buniyaad-e-dahr is kharaabe mein na karnaa qasd tum taamir kaa bas tabib uTh jaa miri baalin se mat de dard-e-sar kaam yaan aakhir huaa ab faaeda tadbir kaa naala-kash hain ahd-e-piri mein bhi tere dar pe ham qadd-e-kham-gashta hamaaraa halqa hai zanjir kaa jo tire kuche mein aayaa phir vahin gaaDaa use tishna-e-khun mein to huun us khaak-e-daaman-gir kaa khuun se mere hui yak-dam khushi tum ko to lek muft mein jaataa rahaa ji ek be-taqsir kaa lakht-e-dil se juun chhiDi phulon ki gundhi hai vale faaeda kuchh ai jigar is aah-e-be-taasir kaa gor-e-majanun se na jaaveinge kahin ham be-navaa aib hai ham mein jo chhoDein Dher apne piir kaa kis tarah se maaniye yaaro ki ye aashiq nahin rang uDaa jaataa hai Tak chehra to dekho 'mir' kaa"
"koi huaa na ru-kash Tak meri chashm-e-tar se kyaa kyaa na abr aa kar yaan zor zor barse vahshat se meri yaaro khaatir na jama rakhiyo phir aave yaa na aave nau pur uThaa jo ghar se ab juun sarishk un se phirne ki chashm mat rakh jo khaak mein mile hain gir kar tiri nazar se didaar khvaah us ke kam hon to shor kam ho har subh ik qayaamat uThti hai us ke dar se daagh ek ho jilaa bhi khuun ek ho bahaa bhi ab bahs kyaa hai dil se kyaa guftugu jigar se dil kis tarah na khinchein ashaar rekhte ke behtar kyaa hai main ne us aib ko hunar se anjaam-e-kaar bulbul dekhaa ham apni aankhon aavaara the chaman mein do chaar TuuTe par se be-taaqati ne dil ki aakhir ko maar rakhaa aafat hamaare ji ki aai hamaare ghar se dilkash ye manzil aakhir dekhaa to aah nikli sab yaar jaa chuke the aae jo ham safar se aavaara 'mir' shaayad vaan khaak ho gayaa hai yak gard uTh chale hai gaah us ki rahguzar se"
"mujh soz baad-e-marg se aagaah kaun hai sham-e-mazaar miir ba-juz aah kaun hai bekas huun muztarib huun musaafir huun be-vatan duri-e-raah ban mire hamraah kaun hai labrez jis ke husn se masjid hai aur dair aisaa buton ke beach vo allaah kaun hai rakhiyo qadam sambhal ke ki tu jaantaa nahin maanind-e-naqsh-e-paa ye sar-e-raah kaun hai aisaa asiir khasta-jigar main sunaa nahin har aah 'mir' jis ki hai jaan-kaah kaun hai"
"yaar ajab tarah nigah kar gayaa dekhnaa vo dil mein jagah kar gayaa tang qabaai kaa samaan yaar ki pairahan ghuncha ko tah kar gayaa jaanaa hai us bazm se aayaa to kyaa koi ghaDi go ki tu rah kar gayaa vasf khat-o-khaal mein khubaan ke 'mir' naama-e-aamaal siyah kar gayaa"
More on Dil
View all →"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
"kisi ki mehrbaani ho gai hai ayaan dil ki kahaani ho gai hai hare mausam ki pahli khvaahishein uf khushi gham ki divaani ho gai hai sabhi afraad ghar ke so gae hain bahut lambi kahaani ho gai hai rivaayat kaa hai ab bhi sahar qaaem har ik jiddat puraani ho gai hai pas-e-chehra milaa ik aur chehra 'aqidat paani paani ho gai hai"