SHAWORDS

naale mein kabhi asar na aayaa — Bekhud Badayuni

"naale mein kabhi asar na aayaa is nakhl mein kuchh samar na aayaa allaah-ri meri be-qaraari chain un ko bhi raat bhar na aayaa kahtaa huun ki aa hi jaaegaa sabr ye fikr bhi hai agar na aayaa ghaflat ke paDe hue the parde vo paas rahaa nazar na aayaa aankhon se huaa jo koi ojhal 'bekhud' mujhe kuchh nazar na aayaa"
Urdu

نالے میں کبھی اثر نہ آیا اس نخل میں کچھ ثمر نہ آیا اللہ ری میری بے قراری چین ان کو بھی رات بھر نہ آیا کہتا ہوں کہ آ ہی جائے گا صبر یہ فکر بھی ہے اگر نہ آیا غفلت کے پڑے ہوئے تھے پردے وہ پاس رہا نظر نہ آیا آنکھوں سے ہوا جو کوئی اوجھل بیخودؔ مجھے کچھ نظر نہ آیا

Hindi

नाले में कभी असर न आया इस नख़्ल में कुछ समर न आया अल्लाह-री मेरी बे-क़रारी चैन उन को भी रात भर न आया कहता हूँ कि आ ही जाएगा सब्र ये फ़िक्र भी है अगर न आया ग़फ़लत के पड़े हुए थे पर्दे वो पास रहा नज़र न आया आँखों से हुआ जो कोई ओझल 'बेख़ुद' मुझे कुछ नज़र न आया

naale meñ kabhī asar na aayā
Bekhud Badayuni
Bekhud Badayuni
Bekhud Badayuni
poet33 quotes

More by Bekhud Badayuni

View all →
Quote
"is bazm mein na hosh rahegaa zaraa mujhe ai shauq-e-harza-taaz kahaan le chalaa mujhe ye dard-e-dil hi ziist kaa baa'is hai chaara-gar mar jaaungaa jo aai muaafiq davaa mujhe is zauq-e-ibtilaa kaa maza us ke dam se hai sab kuchh milaa milaa ho dil-e-mubtalaa mujhe dair-o-haram ko dekh liyaa khaak bhi nahin bas ai talaash-e-yaar na dar dar phiraa mujhe ye dil se duur ho na dikhaae khudaa vo din zaalim tiraa khayaal hai dil se sivaa mujhe ranj-o-malaal o hasrat-o-armaan-o-aarzu jaane se ek dil ke bahut kuchh milaa mujhe main jaantaa huun aap hain mast apne haal mein 'bekhud' nahin hai aap se mutlaq gilaa mujhe"
Bekhud BadayuniBekhud Badayuni

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud