"gila hai apne muqaddar ki be-hisi se hamein aur is se baDh ke shikaayat hai zindagi se hamein kabhi nigaar-e-lab-e-shoala-vash kaa zikr chalaa kabhi hisaar-e-gham-e-jaan milaa kisi se hamein kabhi thaa qurb mein ik iztiraab kaa aalam kabhi qaraar milaa teri be-rukhi se hamein kabhi malaal huaa iltifaat-e-paiham se kabhi khushi thi bahut tark-e-dosti se hamein kabhi gumaan ki ye duniyaa hai ik fareb-e-nazar yaqin bhi hai khudaa ke vajud hi se hamein hayaat-e-jehd-e-musalsal mein kyon hai sargardaan zaraa pataa to chale ilm-o-aagahi se hamein agarche dil ko mili thi naved-e-subh-e-jamaal najaat mil na saki shab ki tirgi se hamein khaDe hain dasht-e-balaa-khez mein barahna-paa milaa hai izn-e-safar jazba-e-khudi se hamein 'sabaa' ye kaun si manzil hai dasht-e-imkaan mein na aashnaa se gharaz hai na ajnabi se hamein"
nashaat-e-mai hai ki jaam-e-sharaab hai kyaa hai — Naeem Saba
"nashaat-e-mai hai ki jaam-e-sharaab hai kyaa hai vo khvaab-e-husn hai yaa husn-e-khvaab hai kyaa hai nigaar-e-husn-e-ghazaalaan bahaar raahat-e-jaan sahar kaa nuur hai vo maahtaab hai kyaa hai havaa chali vahi khushbu-badan ki yaad aai ye khvaab hai ki haqiqat saraab hai kyaa hai shab-e-visaal jo guzri ki tere chehre par sabaa kaa lams hai rang-e-hijaab hai kyaa hai ye shaam-e-gham bhi nahin yaad-e-raftagaan bhi nahin ajiib si hai khalish iztiraab hai kyaa hai chaman mein nikhat-e-gul hai na ab nasim-e-bahaar dhuaan saa phailaa huaa hai sahaab hai kyaa hai charaagh ab bhi tiri rahguzar mein jaltaa hai miri vafaa kaa sila hai hisaab hai kyaa hai vo shams hai ki sitaaraa vo chaand hai ki sahar vo shakhs jaan-e-'sabaa' hai saraab hai kyaa hai"
نشاط مے ہے کہ جام شراب ہے کیا ہے وہ خواب حسن ہے یا حسن خواب ہے کیا ہے نگار حسن غزالاں بہار راحت جاں سحر کا نور ہے وہ ماہتاب ہے کیا ہے ہوا چلی وہی خوشبو بدن کی یاد آئی یہ خواب ہے کہ حقیقت سراب ہے کیا ہے شب وصال جو گزری کہ تیرے چہرے پر صبا کا لمس ہے رنگ حجاب ہے کیا ہے یہ شام غم بھی نہیں یاد رفتگاں بھی نہیں عجیب سی ہے خلش اضطراب ہے کیا ہے چمن میں نکہت گل ہے نہ اب نسیم بہار دھواں سا پھیلا ہوا ہے سحاب ہے کیا ہے چراغ اب بھی تری رہ گزر میں جلتا ہے مری وفا کا صلہ ہے حساب ہے کیا ہے وہ شمس ہے کہ ستارا وہ چاند ہے کہ سحر وہ شخص جان صباؔ ہے سراب ہے کیا ہے
नशात-ए-मय है कि जाम-ए-शराब है क्या है वो ख़्वाब-ए-हुस्न है या हुस्न-ए-ख़्वाब है क्या है निगार-ए-हुस्न-ए-ग़ज़ालाँ बहार राहत-ए-जाँ सहर का नूर है वो माहताब है क्या है हवा चली वही ख़ुशबू-बदन की याद आई ये ख़्वाब है कि हक़ीक़त सराब है क्या है शब-ए-विसाल जो गुज़री कि तेरे चेहरे पर सबा का लम्स है रंग-ए-हिजाब है क्या है ये शाम-ए-ग़म भी नहीं याद-ए-रफ़्तगाँ भी नहीं अजीब सी है ख़लिश इज़्तिराब है क्या है चमन में निकहत-ए-गुल है न अब नसीम-ए-बहार धुआँ सा फैला हुआ है सहाब है क्या है चराग़ अब भी तिरी रहगुज़र में जलता है मिरी वफ़ा का सिला है हिसाब है क्या है वो शम्स है कि सितारा वो चाँद है कि सहर वो शख़्स जान-ए-'सबा' है सराब है क्या है

More by Naeem Saba
View all →"kaf-e-ghubaar mein malbus meraa paikar thaa ye saaneha to azal se miraa muqaddar thaa har ek samt se mujh par hui thi baarish-e-sang zahe-nasib main apne makaan ke andar thaa sukut-e-shab mein ye aavaaz mujh ko di kis ne vo raaste kaa musaafir thaa yaa ki rahbar thaa usi kaa aks rahaa aaine mein jalva-fagan vo apni zaat kaa shaayad khud aaina-gar thaa tire jamaal se thi zindagi mein raanaai mire vajud kaa tu hi azal se mehvar thaa andheri raat mein saaya bhi saath de na sakaa nasheb-e-raah mein khud hi main apnaa rahbar thaa miri nazar mein baresham thaa silk pairaahan guhar bhi mere liye raaste kaa patthar thaa mire safar ki 'sabaa' intihaa yahi to nahin qadam thaa ret pe aur saamne samundar thaa"
"firaaq-e-yaar mein aisi bhi ek shab aai charaagh jal gayaa aankhon mein niind jab aai umid-o-bim ke aalam mein thi nigaah-e-shauq kisi ki yaad mire dil mein nim-shab aai sahar ke baad bhi thaa teraa intizaar mujhe nigaah dar se har ik baar tishna-lab aai na shaghl-e-baada-kashi hai na shauq-e-raamish-o-rang ye kis maqaam par ab mahfil-e-tarab aai khum-o-subu bhi hain labrez ab sharaabon se ye dekhnaa hai ki rindon ko niind kab aai main tere shahr mein tujh se bhi sar-kashida huun tu mujh se milne sar-e-raah be-sabab aai sitaare Duub gae aur shab tamaam hui charaagh bujh gayaa aankhon mein niind tab aai na dil mein mauj-e-tamannaa na lab pe harf-e-vafaa ye kis ravish pe 'sabaa' zindagi hai ab aai"
"rakht-e-safar kaa main ne iraada nahin kiyaa raushan charaagh-e-manzil-e-jaada nahin kiyaa tujh se bichhaD ke aur miraa dil udaas ho milne kaa is liye abhi vaada nahin kiyaa shiddat se thaa malaal shab-e-hijr kaa magar shaane pe tere sar ko nihaada nahin kiyaa dil mutmain hai baais-e-tajdid-e-dosti us ko khafaa bhi had se ziyaada nahin kiyaa sab kuchh ataa huaa tiri rahmat se is liye dast-e-talab ko aur kushaada nahin kiyaa shaayad ki meri ruuh ko baalidgi mile khud ko rahin-e-saaghar-o-baada nahin kiyaa shaayad miri jabin ko mile izn-e-bandagi dil ke varq ko is liye saada nahin kiyaa mujh ko na tamkanat kaa ho ehsaas-e-be-ziyaan qaamat ko apne aur sitaara nahin kiyaa apni talaash mein huun 'sabaa' is liye abhi su-e-haram safar kaa iraada nahin kiyaa"
"ye tere hijr kaa mausam saraab jaisaa hai har ek lamha musalsal azaab jaisaa hai labon pe us ke tabassum ke phuul khilte hain vo ek chehra moattar gulaab jaisaa hai kisi ne jaam uThaayaa kisi ki zulf khuli havaa ke dosh pe mausam sahaab jaisaa hai ba-naam-e-laala-rukhaan kuchh to zahr-e-gham pi lein tire labon mein halaahil sharaab jaisaa hai vo mere paas hai lekin ye haal hai apnaa sukun dil kaa bhi ab iztiraab jaisaa hai qaraar-e-jaan bhi vahi iztiraab-e-jaan bhi vahi vo ek shakhs mujassam-shabaab jaisaa hai khalish hai dil mein kasak si hai bekali bhi hai 'sabaa' ye hosh kaa aalam bhi khvaab jaisaa hai"
"aaina ik khayaal kaa huun shishagar nahin main vo makaan huun jis kaa koi baam-o-dar nahin kis samt jaa rahaa huun ye mujh ko khabar nahin main jis ki huun talaash mein ye vo sahar nahin aaya huun ajnabi ki tarah shahr-e-dard mein jo rahguzar mili vo tiri rahguzar nahin apni salib-e-jaan pe khaDaa huun barahna sar ik jaam huun sifaal kaa main kuza-gar nahin ik dasht-e-be-gumaan mein hai manzil ki justuju ik karb-e-laa-zavaal hai jis se mafar nahin tanhaaiyon ke zahr se be-kal hai zindagi meraa rafiq-e-shab bhi miraa ham-safar nahin har shaakh par salib kaa hotaa hai ab gumaan be-barg har shajar hai ki jis mein samar nahin aksar ye sochtaa huun safar kaa nishaan mile shaayad rah-e-hayaat abhi mukhtasar nahin paani ki buund ko bhi tarasti hai ye zamin abr-e-bahaar kaa bhi yahaan se guzar nahin taair ki tarah main huun 'sabaa' ab shikasta par parvaaz ki havas hai magar baal-o-par nahin"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"