SHAWORDS

pal mein hi zaat par utar aae — Amjad Khan Tajwana

"pal mein hi zaat par utar aae log auqaat par utar aae be-sabab us ne chhu liyaa shaayad ham hi khadshaat par utar aae baat kyaa kar li hans ke phir un se vo savaalaat par utar aae koi jab boltaa hai neze par 'ishq aayaat par utar aae vo agar khvaab mein bhi aa jaae dil mulaaqaat par utar aae paanv ghurbat ne kyaa rakhaa ghar mein vo musaafaat par utar aae yaad aate ho jab kabhi 'amjad' aankh barsaat par utar aae"
Urdu

پل میں ہی ذات پر اتر آئے لوگ اوقات پر اتر آئے بے سبب اس نے چھو لیا شاید ہم ہی خدشات پر اتر آئے بات کیا کر لی ہنس کے پھر ان سے وہ سوالات پر اتر آئے کوئی جب بولتا ہے نیزے پر عشق آیات پر اتر آئے وہ اگر خواب میں بھی آ جائے دل ملاقات پر اتر آئے پاؤں غربت نے کیا رکھا گھر میں وہ مسافات پر اتر آئے یاد آتے ہو جب کبھی امجدؔ آنکھ برسات پر اتر آئے

Hindi

पल में ही ज़ात पर उतर आए लोग औक़ात पर उतर आए बे-सबब उस ने छू लिया शायद हम ही ख़दशात पर उतर आए बात क्या कर ली हँस के फिर उन से वो सवालात पर उतर आए कोई जब बोलता है नेज़े पर 'इश्क़ आयात पर उतर आए वो अगर ख़्वाब में भी आ जाए दिल मुलाक़ात पर उतर आए पाँव ग़ुर्बत ने क्या रखा घर में वो मुसाफ़ात पर उतर आए याद आते हो जब कभी 'अमजद' आँख बरसात पर उतर आए

pal meñ hī zaat par utar aa.e
Amjad Khan Tajwana
Amjad Khan Tajwana
Amjad Khan Tajwana
poet20 quotes

More by Amjad Khan Tajwana

View all →
Quote
"raasta tabdil karne se rahaa dil miri taa'mil karne se rahaa dekhne ki un ko 'aadat hai tujhe apni aankhein seal karne se rahaa rabt ke fuqdaan par main kam-numaa ghaib ki tamsil karne se rahaa raas aai hon jise aazaadiyaan jabr ki takmil karne se rahaa tum ne jhuTlaanaa hai jhuTlaa do magar sach ko main tahlil karne se rahaa phunk dam taa'viz de murshid ki main daaere ko kiil karne se rahaa mat bataa tu sabr ke maa'ni mujhe main anaa ki Deal karne se rahaa paDh miraa chehra ki tujh par bhi khule aankh to main jhiil karne se rahaa"
Amjad Khan TajwanaAmjad Khan Tajwana
Quote
"kuchh tire khat sanbhaal rakkhe hain kitne gham hain jo paal rakkhe hain yunhi chehre pe jhurriyaan to nahin saath mein maah-o-saal rakkhe hain ye mire she'r qimti hain bahut in mein tere khayaal rakkhe hain 'ishq ke saath dard ke naate jitne rakkhe kamaal rakkhe hain haadse vaqt mein hain jitne bhi ham ne vo kal pe Taal rakkhe hain kitnaa mushkil thaa zindagi kaa safar saans ham ne bahaal rakkhe hain in fazaaon mein khauf hai 'amjad' kis shikaari ne jaal rakkhe hain"
Amjad Khan TajwanaAmjad Khan Tajwana

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari