SHAWORDS

puchhtaa hai ai but-e-be-pir kyaa — Munshi Khairati Laal Shagufta

"puchhtaa hai ai but-e-be-pir kyaa kyaa kahun hai ranj daaman-gir kyaa kyon khafaa ho meri qismat ki tarah kuchh kaho to hai miri taqsir kyaa le rahaa hai mahfil-e-dildaar mein shama ke bose lab-e-gul-gir kyaa ishq mein ik ghuncha-lab ki kyaa kahun chup huun shakl-e-bulbul-e-tasvir kyaa tir-e-aah-e-shoala-zaa ke saamne ai sanam buniyaad-e-charkh-e-pir kyaa be-takalluf har dahaan-e-zakhm ke bose leti hai zabaan-e-tir kyaa haif baDh baDh kar nigaah-e-yaar mein ghaT gae ham surat-e-tauqir kyaa jald uThaa laa khanjar-e-khun-khvaar ko qatl mein qaatil hai ab taakhir kyaa ek yaar-e-naujavaan ke ishq mein dekhiye dikhlaae charkh-e-pir kyaa mere ji uThne ki ai isaa-nafas zehn mein hai aap ke tadbir kyaa azm-e-qatl-e-aashiq-e-jaanbaaz se faaeda hai ai but-e-be-pir kyaa khaana-e-zindaan mein mere ashk ki qadr jaane dida-e-zanjir kyaa ai 'shagufta' us but-e-tarraar se pesh jaaegi miri taqdir kyaa"
Urdu

پوچھتا ہے اے بت بے پیر کیا کیا کہوں ہے رنج دامن گیر کیا کیوں خفا ہو میری قسمت کی طرح کچھ کہو تو ہے مری تقصیر کیا لے رہا ہے محفل دل دار میں شمع کے بوسے لب گل گیر کیا عشق میں اک غنچہ لب کی کیا کہوں چپ ہوں شکل بلبل تصویر کیا تیر آہ شعلہ زا کے سامنے اے صنم بنیاد چرخ پیر کیا بے تکلف ہر دہان زخم کے بوسے لیتی ہے زبان تیر کیا حیف بڑھ بڑھ کر نگاہ یار میں گھٹ گئے ہم صورت توقیر کیا جلد اٹھا لا خنجر خونخوار کو قتل میں قاتل ہے اب تاخیر کیا ایک یار نوجواں کے عشق میں دیکھیے دکھلائے چرخ پیر کیا میرے جی اٹھنے کی اے عیسیٰ نفس ذہن میں ہے آپ کے تدبیر کیا عزم قتل عاشق جانباز سے فائدہ ہے اے بت بے پیر کیا خانۂ زنداں میں میرے اشک کی قدر جانے دیدۂ زنجیر کیا اے شگفتہؔ اس بت طرار سے پیش جائے گی مری تقدیر کیا

Hindi

पूछता है ऐ बुत-ए-बे-पीर क्या क्या कहूँ है रंज दामन-गीर क्या क्यों ख़फ़ा हो मेरी क़िस्मत की तरह कुछ कहो तो है मिरी तक़्सीर क्या ले रहा है महफ़िल-ए-दिलदार में शम्अ के बोसे लब-ए-गुल-गीर क्या इश्क़ में इक ग़ुंचा-लब की क्या कहूँ चुप हूँ शक्ल-ए-बुलबुल-ए-तस्वीर क्या तीर-ए-आह-ए-शो'ला-ज़ा के सामने ऐ सनम बुनियाद-ए-चर्ख़-ए-पीर क्या बे-तकल्लुफ़ हर दहान-ए-ज़ख़्म के बोसे लेती है ज़बान-ए-तीर क्या हैफ़ बढ़ बढ़ कर निगाह-ए-यार में घट गए हम सूरत-ए-तौक़ीर क्या जल्द उठा ला ख़ंजर-ए-खूँ-ख़्वार को क़त्ल में क़ातिल है अब ताख़ीर क्या एक यार-ए-नौजवाँ के इश्क़ में देखिए दिखलाए चर्ख़-ए-पीर क्या मेरे जी उठने की ऐ ईसा-नफ़स ज़ेहन में है आप के तदबीर क्या अज़्म-ए-क़त्ल-ए-आशिक़-ए-जाँबाज़ से फ़ाएदा है ऐ बुत-ए-बे-पीर क्या ख़ाना-ए-ज़िंदाँ में मेरे अश्क की क़द्र जाने दीदा-ए-ज़ंजीर क्या ऐ 'शगुफ़्ता' उस बुत-ए-तर्रार से पेश जाएगी मिरी तक़दीर क्या

pūchhtā hai ai but-e-be-pīr kyā
M
Munshi Khairati Laal Shagufta
Munshi Khairati Laal Shagufta
poet32 quotes

More by Munshi Khairati Laal Shagufta

View all →
Quote
"paanv phailaati hain vo taa-sar-e-daamaan kyaa kyaa naaz karte hain mire chaak-e-garebaan kyaa kyaa yaad-e-dandaan mein tumhaare jo hayaa se royaa ashk ne munh ko chhupaayaa tah-e-daamaan kyaa kyaa daaman-e-dasht mein sau baar vatan se mujh ko khinch laai kashish-e-khaar-e-bayaabaan kyaa kyaa ghuncha-e-dil se tah-e-khanjar-e-burraan qaatil bu-e-gul ban ke nikal jaaeinge armaan kyaa kyaa lutf uThne nahin detaa hai ham-aaghoshi kaa ho shab-e-vasl mein khauf-e-shab-e-hijraan kyaa kyaa shaadi-e-qatl se thaa shauq-e-tabassum mujh ko surat-e-zakhm tah-e-khanjar-e-burraan kyaa kyaa na khulaa uqda-e-gesu-e-sanam vaae nasib dast-e-tadbir thake ho ke pashemaan kyaa kyaa naaz se khanjar-e-qaatil ki tarah maqtal mein meri gardan se lipaTtaa hai garebaan kyaa kyaa roz ghaT jaataa hai kuchh himmat-e-mumsik ki tarah tang kartaa hai mujhe gosha-e-zindaan kyaa kyaa koi dariyaa inhein kahtaa hai koi baarish-e-abr dhoke dete hain mire dida-e-giryaan kyaa kyaa roza-daaraan-e-mohabbat se hayaa karti hai shaam-e-gesu sifat-e-subh-e-gharibaan kyaa kyaa sun ke kuchh meri pareshaani-e-taqdir kaa haal ban ke bigDi hai tiri zulf-e-pareshaan kyaa kyaa lab milaa kar lab-e-khanjar se tire o qaatil muskuraate hain shigaaf-e-dil-e-naalaan kyaa kyaa puchhte kyaa ho 'shagufta' chaman-e-aalam mein kyaa kahun main ki hai be-rahmi-e-khubaan kyaa kyaa"
M
Munshi Khairati Laal Shagufta
Quote
"gar ta'alli par hai vahm-e-imtihaan-e-mai-farosh be-nishaan ho kar nikaaleinge nishaan-e-mai-farosh sajde karte hain khum-e-mai ko vufur-e-nashshaa mein surat minaa-e-mai maddaah shaan-e-mai-farosh jaam-o-minaa-o-suraahi-o-subu se be-gumaan saaqi-e-mushfiq pe hotaa hai gumaan-e-mai-farosh bhaTTiyon par jaa ke puchheinge bahaar aane to do 'aalam-e-masti mein maston se bayaan-e-mai-farosh shisha-o-jaam-o-suraahi-o-subu kyaa maal hain bakhsh deinge josh-e-masti mein dukaan-e-mai-farosh mai-kade mein dukht-e-raz ko laa biThaaeinge zarur pahlu-e-minaa-e-dil mein mehmaan-e-mai-farosh jaam aankhein hain to baada ashk hai shisha hai dil dekh o mai-nosh main bhi huun labaan-e-mai-e-farosh kis qadar chamkaa huaa hai baada-e-gulgun kaa daur ek 'aalam aaj-kal hai mehmaan-e-mai-farosh main bhi huun ik saaqi-e-mai-nosh tere daur mein kafsh-bardaar-e-sharik-e-khaadimaan-e-mai-farosh khum ke khum kar duun tahi dam-bhar mein vo mai-nosh huun ai 'shagufta' haath aae gar dukaan-e-mai-farosh"
M
Munshi Khairati Laal Shagufta
Quote
"shikasta chhoD kar ye dil hamaaraa kidhar jaataa rahaa qaatil hamaaraa nahin hai aap se inkaar ham ko pasand aae to le lo dil hamaaraa jo ji chaahe karo haazir hain sab mein tumhaare haath mein hai dil hamaaraa nai haT hai vo kahte hain bigaD kar tiri aaghosh mein hai dil hamaaraa zaraa dekho to aakar ro rahaa hai hamaari bekasi par dil hamaaraa na siina mein na pahlu mein na bar mein ilaahi kis taraf hai dil hamaaraa kisi pahlu nahin aaraam detaa balaa-e-jaan huaa hai dil hamaaraa vo kyunkar vasl mein raahat na dete musibat aashnaa thaa dil hamaaraa zaraa dekho bhi dikhlaa do rukh apnaa tarastaa diid ko hai dil hamaaraa nahin ummid aasaani ki tum ko huaa mushkil dam-e-mushkil hamaaraa tumhaare lutf se hotaa hai aasaan nahin uqda hai kuchh mushkil hamaaraa kisi gul-pairahan ki aarzu se shagufta hai 'shagufta' dil hamaaraa"
M
Munshi Khairati Laal Shagufta
Quote
"haTaa kar daaman-e-gesu dikhaa do husn surat kaa ki aaghosh-e-musibat mein mujhe armaan hai raahat kaa mire naalon se chhoDaa taur zaalim ne adaavat kaa duaaon ko milaa malbus daamaan-e-ijaabat kaa zaraa to dil ko dil se rabt hone de mohabbat kaa miri haajat se bar aaegaa matlab teri haajat kaa na nikli munh chhupaa kar ye gulu-e-khushk se gham mein miri fariyaad ne sikhaa asar dar-parda ismat kaa tumhaaraa dast-e-naazuk aa gayaa jab tauq-e-gardan par garebaan-e-musibat mein huaa paivand raahat kaa qad-e-mauzun pe zulfon ne havaa se ki jo chaalaaki nazar aaya tasalsul saaf aashob-e-qayaamat kaa huaa huun muntahi taalim paa kar ishq-e-kaamil se paDhaao naaseh-e-mushfiq na dibaacha nasihat kaa bahut tadbir ki lekin na niklaa ye mire dil se ilaahi hausla matlab hai kyaa us ki tabiat kaa tamannaa-e-safaai kaa na kyunkar khuun ho ai zaalim jigar par zakhm kaari paD gayaa tegh-e-kudurat kaa zaraa do haath mein haath ai pari-paikar khushi ho kar sar-e-dast aap ki raahat se hove vasl raahat kaa gulistaan-e-jahaan mein miT ke tujh par ai gul-e-khubi tamanna se shagufa ban gayaa huun shaakh-e-ulfat kaa hansi mujh ko na aaegi tumhaare gudgudaane se musibat aashnaa ke paas hai kyaa kaam raahat kaa karun tadbir kyaa ai ham-nafas kuchh ban nahin paDti miri jaanib se dil TuuTaa huaa hai meri qismat kaa giraa jo ashk chashm-e-kilk se daamaan-e-kaaghaz par nazar aaya mujhe qatra mire aab-e-nadaamat kaa jo likhtaa huun kabhi mazmun-e-raahat yaar-e-bad-zan ko dikhaa kar aankh kyaa kyaa ghurtaa hai ain usrat kaa karo tegh-e-nigah se qatl aa kar jaan-nisaaron mein nikal jaae kahin armaan mire dil se shahaadat kaa"
M
Munshi Khairati Laal Shagufta

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb