SHAWORDS

raabta mujh se miraa joD diyaa kartaa thaa — Nadeem Bhabha

HomeNadeem BhabhaGhazal
"raabta mujh se miraa joD diyaa kartaa thaa vo jo ik shakhs mujhe chhoD diyaa kartaa thaa mujhe dariyaa, kabhi sahraa ke havaale kar ke vo kahaani ko nayaa moD diyaa kartaa thaa is se aage to mohabbat se gila hai mujh ko tu to bas haat miraa chhoD diyaa kartaa thaa baat peDon ki nahin, gham hai parindon kaa 'nadim' ghonsle jin ke koi toD diyaa kartaa thaa"
Urdu

رابطہ مجھ سے مرا جوڑ دیا کرتا تھا وہ جو اک شخص مجھے چھوڑ دیا کرتا تھا مجھے دریا، کبھی صحرا کے حوالے کر کے وہ کہانی کو نیا موڑ دیا کرتا تھا اس سے آگے تو محبت سے گلہ ہے مجھ کو تو تو بس ہات مرا چھوڑ دیا کرتا تھا بات پیڑوں کی نہیں، غم ہے پرندوں کا ندیمؔ گھونسلے جن کے کوئی توڑ دیا کرتا تھا

Hindi

राब्ता मुझ से मिरा जोड़ दिया करता था वो जो इक शख़्स मुझे छोड़ दिया करता था मुझे दरिया, कभी सहरा के हवाले कर के वो कहानी को नया मोड़ दिया करता था इस से आगे तो मोहब्बत से गिला है मुझ को तू तो बस हात मिरा छोड़ दिया करता था बात पेड़ों की नहीं, ग़म है परिंदों का 'नदीम' घोंसले जिन के कोई तोड़ दिया करता था

rābta mujh se mirā joḌ diyā kartā thā
Nadeem Bhabha
Nadeem Bhabha
Nadeem Bhabha
poet65 quotes

More by Nadeem Bhabha

View all →
Quote
"bahut shiddat se jo qaaem huaa thaa vo rishta ham mein shaayad jhuuT kaa thaa mohabbat ne akelaa kar diyaa hai main apni zaat mein ik qaafila thaa miri aankhon mein baarish ki ghuTan thi tumhaare paanv baadal chumtaa thaa tumhaari hi gali kaa vaaqia hai main pahli baar jab tanhaa huaa thaa khujuron ke darakhton se bhi unchaa mire dil mein tumhaaraa martaba thaa mohabbat is liye bhi ki gai thi hamaaraa sher kahnaa masala thaa mujhe ik phuul ne samjhaai duniyaa jo tere sabz baaghon mein khilaa thaa zuhur-e-aadam-o-havvaa se pahle hamaare vaaste sab kuchh nayaa thaa zamin par jab zamini masale the to baarish bhi mukammal vaaqia thaa qadam uThne mein kitni barkatein thiin aur un haathon mein kaisaa zaaiqa thaa phir is ke baad raste mar gae the main bas ik saans lene ko rukaa thaa"
Nadeem BhabhaNadeem Bhabha
Quote
"tamaam umr jale aur raushni nahin ki ye zindagi hai to phir ham ne zindagi nahin ki sitam to ye hai ki mere khilaaf bolte hain vo log jin se kabhi main ne baat bhi nahin ki jo dil mein aataa gayaa sidq-e-dil se likhtaa gayaa duaaein maangi hain main ne to shaaeri nahin ki bas itnaa hai ki miraa bakht Dhal gayaa aur phir mire charaagh ne bhi mujh pe raushni nahin ki miri sipaah se duniyaa larazne lagti hai magar tumhaari to main ne baraabari nahin ki kuchh is liye bhi akelaa saa ho gayaa huun 'nadim' sabhi ko dost banaayaa hai dushmani nahin ki"
Nadeem BhabhaNadeem Bhabha
Quote
"dil se ik yaad bhulaa di gai hai kisi ghaflat ki sazaa di gai hai main ne manzil ki duaa maangi thi meri raftaar baDhaa di gai hai aib divaar ke honge zaahir meri tasvir haTaa di gai hai main ne ik dil pe hukumat kyaa ki mujhe talvaar thamaa di gai hai ab mohabbat kaa sabab hai vahshat varna hasrat to miTaa di gai hai ab yahaan se nahin jaa saktaa koi ab yahaan shama jalaa di gai hai mujh mein ab phuul nahin nahin khil sakte meri ab khaak uDaa di gai hai is liye jam ke yahaan baiThaa huun mujh ko meri hi jagah di gai hai"
Nadeem BhabhaNadeem Bhabha
Quote
"kahne lage darakht sahaaraa koi to ho vo dhuup paD rahi hai ki saaya koi to ho sochaa thaa kaT hi jaaegi tanhaa tamaam 'umr lekin tamaam 'umr khudaaraa koi to ho ik 'umr tujh se mil na sake aur ek 'umr ye sochte kaTi ki bahaana koi to ho tanhaai is qadar hai ki 'aadat si ho gai har vaqt kahte rahnaa hamaaraa koi to ho kuchh is liye bhi mujh ko mohabbat hai tum se dost meraa koi nahin hai tumhaaraa koi to ho kamre mein aaj mere 'alaava koi nahin kamre mein aaj mere 'alaava koi to ho"
Nadeem BhabhaNadeem Bhabha
Quote
"dil mubtalaa-e-hijr rifaaqat mein rah gayaa lagtaa hai koi farq mohabbat mein rah gayaa is ghar ke do makin the ik peD aur main ye hijr to kisi ki sharaarat mein rah gayaa ik baar mana karti hui shaam se to puchh jo bhi judaa huaa vo haqiqat mein rah gayaa mumkin thaa tujh ko chhin hi letaa jahaan se lekin main kyaa karun main mohabbat mein rah gayaa ab tu hi meri khaali hatheli ki laaj rakh mujh se to koi farq ibaadat mein rah gayaa tujh par hai koi zoam na khud par yaqin 'nadim' kuchh din kaa ham mein pyaar to aadat mein rah gayaa"
Nadeem BhabhaNadeem Bhabha

More on Mohabbat

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb