"haalat-e-haal mein aadaab nahin bhultaa main khud ko bhulun bhi to ahbaab nahin bhultaa main main abhi ishq nahin haalat-e-imaan mein huun jang karte hue asbaab nahin bhultaa main jazb karti hui khilqat se mohabbat hai mujhe chaand ko chhoDiye taalaab nahin bhultaa main ai mujhe khvaab dikhaate hue logo sun lo meraa dukh ye hai koi khvaab nahin bhultaa main paarsaai nahin tanhaai mayassar thi vahaan so tire mimbar-o-mehraab nahin bhultaa main"
dil mubtalaa-e-hijr rifaaqat mein rah gayaa — Nadeem Bhabha
"dil mubtalaa-e-hijr rifaaqat mein rah gayaa lagtaa hai koi farq mohabbat mein rah gayaa is ghar ke do makin the ik peD aur main ye hijr to kisi ki sharaarat mein rah gayaa ik baar mana karti hui shaam se to puchh jo bhi judaa huaa vo haqiqat mein rah gayaa mumkin thaa tujh ko chhin hi letaa jahaan se lekin main kyaa karun main mohabbat mein rah gayaa ab tu hi meri khaali hatheli ki laaj rakh mujh se to koi farq ibaadat mein rah gayaa tujh par hai koi zoam na khud par yaqin 'nadim' kuchh din kaa ham mein pyaar to aadat mein rah gayaa"
دل مبتلائے ہجر رفاقت میں رہ گیا لگتا ہے کوئی فرق محبت میں رہ گیا اس گھر کے دو مکین تھے اک پیڑ اور میں یہ ہجر تو کسی کی شرارت میں رہ گیا اک بار منع کرتی ہوئی شام سے تو پوچھ جو بھی جدا ہوا وہ حقیقت میں رہ گیا ممکن تھا تجھ کو چھین ہی لیتا جہان سے لیکن میں کیا کروں میں محبت میں رہ گیا اب تو ہی میری خالی ہتھیلی کی لاج رکھ مجھ سے تو کوئی فرق عبادت میں رہ گیا تجھ پر ہے کوئی زعم نہ خود پر یقیں ندیمؔ کچھ دن کا ہم میں پیار تو عادت میں رہ گیا
दिल मुब्तला-ए-हिज्र रिफ़ाक़त में रह गया लगता है कोई फ़र्क़ मोहब्बत में रह गया इस घर के दो मकीन थे इक पेड़ और मैं ये हिज्र तो किसी की शरारत में रह गया इक बार मनअ' करती हुई शाम से तो पूछ जो भी जुदा हुआ वो हक़ीक़त में रह गया मुमकिन था तुझ को छीन ही लेता जहान से लेकिन मैं क्या करूँ मैं मोहब्बत में रह गया अब तू ही मेरी ख़ाली हथेली की लाज रख मुझ से तो कोई फ़र्क़ इबादत में रह गया तुझ पर है कोई ज़ोम न ख़ुद पर यक़ीं 'नदीम' कुछ दिन का हम में प्यार तो आदत में रह गया

More by Nadeem Bhabha
View all →"bahut shiddat se jo qaaem huaa thaa vo rishta ham mein shaayad jhuuT kaa thaa mohabbat ne akelaa kar diyaa hai main apni zaat mein ik qaafila thaa miri aankhon mein baarish ki ghuTan thi tumhaare paanv baadal chumtaa thaa tumhaari hi gali kaa vaaqia hai main pahli baar jab tanhaa huaa thaa khujuron ke darakhton se bhi unchaa mire dil mein tumhaaraa martaba thaa mohabbat is liye bhi ki gai thi hamaaraa sher kahnaa masala thaa mujhe ik phuul ne samjhaai duniyaa jo tere sabz baaghon mein khilaa thaa zuhur-e-aadam-o-havvaa se pahle hamaare vaaste sab kuchh nayaa thaa zamin par jab zamini masale the to baarish bhi mukammal vaaqia thaa qadam uThne mein kitni barkatein thiin aur un haathon mein kaisaa zaaiqa thaa phir is ke baad raste mar gae the main bas ik saans lene ko rukaa thaa"
"tamaam umr jale aur raushni nahin ki ye zindagi hai to phir ham ne zindagi nahin ki sitam to ye hai ki mere khilaaf bolte hain vo log jin se kabhi main ne baat bhi nahin ki jo dil mein aataa gayaa sidq-e-dil se likhtaa gayaa duaaein maangi hain main ne to shaaeri nahin ki bas itnaa hai ki miraa bakht Dhal gayaa aur phir mire charaagh ne bhi mujh pe raushni nahin ki miri sipaah se duniyaa larazne lagti hai magar tumhaari to main ne baraabari nahin ki kuchh is liye bhi akelaa saa ho gayaa huun 'nadim' sabhi ko dost banaayaa hai dushmani nahin ki"
"dil se ik yaad bhulaa di gai hai kisi ghaflat ki sazaa di gai hai main ne manzil ki duaa maangi thi meri raftaar baDhaa di gai hai aib divaar ke honge zaahir meri tasvir haTaa di gai hai main ne ik dil pe hukumat kyaa ki mujhe talvaar thamaa di gai hai ab mohabbat kaa sabab hai vahshat varna hasrat to miTaa di gai hai ab yahaan se nahin jaa saktaa koi ab yahaan shama jalaa di gai hai mujh mein ab phuul nahin nahin khil sakte meri ab khaak uDaa di gai hai is liye jam ke yahaan baiThaa huun mujh ko meri hi jagah di gai hai"
"kahne lage darakht sahaaraa koi to ho vo dhuup paD rahi hai ki saaya koi to ho sochaa thaa kaT hi jaaegi tanhaa tamaam 'umr lekin tamaam 'umr khudaaraa koi to ho ik 'umr tujh se mil na sake aur ek 'umr ye sochte kaTi ki bahaana koi to ho tanhaai is qadar hai ki 'aadat si ho gai har vaqt kahte rahnaa hamaaraa koi to ho kuchh is liye bhi mujh ko mohabbat hai tum se dost meraa koi nahin hai tumhaaraa koi to ho kamre mein aaj mere 'alaava koi nahin kamre mein aaj mere 'alaava koi to ho"
"raabta mujh se miraa joD diyaa kartaa thaa vo jo ik shakhs mujhe chhoD diyaa kartaa thaa mujhe dariyaa, kabhi sahraa ke havaale kar ke vo kahaani ko nayaa moD diyaa kartaa thaa is se aage to mohabbat se gila hai mujh ko tu to bas haat miraa chhoD diyaa kartaa thaa baat peDon ki nahin, gham hai parindon kaa 'nadim' ghonsle jin ke koi toD diyaa kartaa thaa"
More on Dil
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"