SHAWORDS

sulagti ret pe aankhein bhi zer-e-paa rakhnaa — Kishwar Naheed

HomeKishwar NaheedGhazal
"sulagti ret pe aankhein bhi zer-e-paa rakhnaa nahin hai sahl havaa se muqaabla rakhnaa use ye zom ki aaghosh-e-gul bhi us ki hai jo chaahtaa hai parindon ko be-navaa rakhnaa subuk na ho ye nigah-daari-e-junun ham se ye dekhne ko use saamne biThaa rakhnaa bikhar na jaanaa jaraahat-navaazi-e-shab par mashaam-e-jaan ko abhi khvaab aashnaa rakhnaa vo fursatein ki jinhein aahaTon ki khvaahish ho unhein jaras ki tamannaa se maa-sivaa rakhnaa tamaam manzar-e-jaan us ki khvaahishon se banaa vo khvaab hai to use khvaab mein sajaa rakhnaa udaasiyon ko to aangan hi chaahiye khaali chhaton pe chaandni raaton kaa silsila rakhnaa vo jab bhi aayaa bahut tez baarishon jaisaa vo jis ne chaahaa mujhe surmai ghaTaa rakhnaa bas ik charaagh masaafat kaa bojh sah legaa sukhan ke biich talabgaari-e-vafaa rakhnaa"
Urdu

سلگتی ریت پہ آنکھیں بھی زیر پا رکھنا نہیں ہے سہل ہوا سے مقابلہ رکھنا اسے یہ زعم کہ آغوش گل بھی اس کی ہے جو چاہتا ہے پرندوں کو بے نوا رکھنا سبک نہ ہو یہ نگہ داریٔ جنوں ہم سے یہ دیکھنے کو اسے سامنے بٹھا رکھنا بکھر نہ جانا جراحت نوازئی شب پر مشام جاں کو ابھی خواب آشنا رکھنا وہ فرصتیں کہ جنہیں آہٹوں کی خواہش ہو انہیں جرس کی تمنا سے ماسوا رکھنا تمام منظر جاں اس کی خواہشوں سے بنا وہ خواب ہے تو اسے خواب میں سجا رکھنا اداسیوں کو تو آنگن ہی چاہیئے خالی چھتوں پہ چاندنی راتوں کا سلسلہ رکھنا وہ جب بھی آیا بہت تیز بارشوں جیسا وہ جس نے چاہا مجھے سرمئی گھٹا رکھنا بس اک چراغ مسافت کا بوجھ سہہ لے گا سخن کے بیچ طلب گارئ وفا رکھنا

Hindi

सुलगती रेत पे आँखें भी ज़ेर-ए-पा रखना नहीं है सहल हवा से मुक़ाबला रखना उसे ये ज़ोम कि आग़ोश-ए-गुल भी उस की है जो चाहता है परिंदों को बे-नवा रखना सुबुक न हो ये निगह-दारी-ए-जुनूँ हम से ये देखने को उसे सामने बिठा रखना बिखर न जाना जराहत-नवाज़ी-ए-शब पर मशाम-ए-जाँ को अभी ख़्वाब आश्ना रखना वो फ़ुर्सतें कि जिन्हें आहटों की ख़्वाहिश हो उन्हें जरस की तमन्ना से मा-सिवा रखना तमाम मंज़र-ए-जाँ उस की ख़्वाहिशों से बना वो ख़्वाब है तो उसे ख़्वाब में सजा रखना उदासियों को तो आँगन ही चाहिए ख़ाली छतों पे चाँदनी रातों का सिलसिला रखना वो जब भी आया बहुत तेज़ बारिशों जैसा वो जिस ने चाहा मुझे सुरमई घटा रखना बस इक चराग़ मसाफ़त का बोझ सह लेगा सुख़न के बीच तलबगारी-ए-वफ़ा रखना

sulagtī ret pe āñkheñ bhī zer-e-pā rakhnā
Kishwar Naheed
Kishwar Naheed
Kishwar Naheed
poet88 quotes

More by Kishwar Naheed

View all →
Quote
"talaash dariyaa ki thi ba-zaahir saraab dekhaa vo kaun aankhein thiin jin ki khaatir ye khvaab dekhaa jo rut bhi aae hamin se girya kaa rizq maange hamaari surat kise zamin intikhaab dekhaa nadaamatein bahte aansuon se sharh na paaein safina apni duaa kaa maqtal rikaab dekhaa barasti aankhon se sukhe taalaab bhar na paaein ye gham kaa dariyaa misaal-e-qarz-e-sahaab dekhaa kabhi to aankhon mein un ki aabaadiyaan khileingi vo bastiyaan umr bhar jinhein zer-e-aab dekhaa abhi to bakhiya-gari ko sozan hi kaam aae hinaa ki dahliz pe tulu-e-hijaab dekhaa yaqin ki tishna-labi muqaddar raqam rahegi vufur-e-dariyaa bhi misl-e-dariyaa-e-khvaab dekhaa jataa gayaa saari aadatein bas gale se lag ke us ek anjum ko chaandni ke hisaab dekhaa khayaal us ke badan ki galiyon ko DhunDtaa hai vo jis ko dekhaa to hairaton ko naqaab dekhaa"
Kishwar NaheedKishwar Naheed
Quote
"main tasht-e-khvaab liye haath mein guzar gai huun samajh sakaa na vo jis ke liye main ghar gai huun bahut ajab thi samundar se guftugu lekin pahan ke pyaas palaTne kaa sabr kar gai huun miraa mizaaj rahaa dasht-aashnaa shab bhar ki din mein bastiyaan dekhin to jaise Dar gai huun husul-e-khvaahish-e-naayaab garche naa-mumkin kisi ke vaada-e-be-aab pe Thahar gai huun bahut nihaal hai dil aankh mein hai sarmasti lage ki shahar-e-khush-anjaam se guzar gai huun balaa se bhuul gae vo jo aashnaa the kabhi main aaj apne shabistaan mein be-khatar gai huun khushaa hatheli pe yaadon kaa qaafila Thahraa khushaa ki yaad thi aisi khushi se mar gai huun bahut aziiz thaa aashuftagi kaa pairaahan ye jaan kar dam-e-aazurdagi bikhar gai huun saraab-aasaa rahaa vo taalluq-e-khubaan palaT palaT ke bulaataa hai phir bhi Dar gai huun"
Kishwar NaheedKishwar Naheed
Quote
"apne lahu se naam likhaa ghair kaa bhi dekh zinda hai to shaqaavat-e-dasht-e-balaa bhi dekh aankhon ke aainon kaa to paani utar gayaa ab jism chob-e-khushk hai ye saaneha bhi dekh hoti hai zindagi ki haraarat ragon mein sard sukhe hue badan pe ye chamDaa kasaa bhi dekh betaabiyon ko siine ke andar sameT le fitne ko apni had se musalsal baDhaa bhi dekh har zarra ibraton ke samundar ki shakl hai sahraa-navard-e-shauq kabhi naqsh-e-paa bhi dekh pahchaan apni ho to mile manzil-e-muraad 'naahid' gaahe gaahe sahi aaina bhi dekh"
Kishwar NaheedKishwar Naheed
Quote
"kabhi to aa miri aankhon ki raushni ban kar zamin-e-khushk ko sairaab kar nami ban kar rachaa huaa hai tiri kam-nigaahiyon kaa karam nashe ki tarah mire dil mein sarkhushi ban kar kabhi to aa tapish-e-jaan-gusal hi dene ko kabhi guzar inhi raahon se ajnabi ban kar khushaa ki aur milaa gham kaa taaziyaana hamein khushaa vo dard jo chhaayaa hai naghmagi ban kar tumhein aziiz nahin hai to ho aziiz kise na mil sakegaa koi vajh-e-zindagi ban kar palaT ke dekh na us ko vo khaak kar degaa tire ghurur ko zahraab ki ani ban kar hui na us se vafaa tum se kyaa huaa 'naahid' abhi talak jiye jaati ho baaoli ban kar"
Kishwar NaheedKishwar Naheed
Quote
"bigDi baat banaanaa mushkil bigDi baat banaae kaun kunj-e-tamannaa viraana hai aa kar phuul khilaae kaun tan ki daulat man ki daulat sab khvaabon ki baatein hain nau man tel na ho to ghar mein raadhaa ko nachvaae kaun apnaa gham ab khud hi uThaa le varna rusvaai hogi teraa bhed chhupaa kar dil mein naahaq bojh uThaae kaun chalti gaaDi naam kaa rishta kyaa mohan kyaa raadhaa aaj ban ke sanvar ke raas rachaa ke mohan aaj manaae kaun saagar paar ki khabrein dekhe ham-saae kaa pataa nahin aaj kaa insaan aalam faazil us ko ab samjhaae kaun naa-ummidi naam-e-tamannaa apnaa muqaddar hijr-e-musalsal dard ke khaaristaan mein aa ke daaman-e-dil uljhaae kaun raat bhi kaali chaadar oDhe aa pahunchi hai ziine mein mehndi lagaae baiThi soche laT uljhi suljhaae kaun"
Kishwar NaheedKishwar Naheed
Quote
"ye dasht-e-faraamoshi Thaharne nahin detaa lekin dar-e-khvaahish ko bhi khulne nahin detaa ye rasm hai divaar-o-dar-e-girya ki lekin daryuza-gar-e-khvaab to rone nahin detaa aashob hai aisaa ki saraasima hai vahshat ye ijz-e-bayaan zakhm bhi dhone nahin detaa haan manzil-e-ummid bhi nazdik thi lekin gham-khaana-e-jaanaanaan bahalne nahin detaa aankhon mein vahi ranj-e-asiri hai musallat jo hashr bapaa honaa thaa hone nahin detaa be-naam rahi khvaahish-e-didaar hamesha shabnam ki tarah vo mujhe hansne nahin detaa aangan mein lahu dekh ke roti nahin aankhein ye dil to sulagtaa hai pa jalne nahin detaa"
Kishwar NaheedKishwar Naheed

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud