SHAWORDS

vafaa ko jagmagaanaa chaahte hain — Bismil Sabri

HomeBismil SabriGhazal
"vafaa ko jagmagaanaa chaahte hain ham apnaa dil jalaanaa chaahte hain hamein tum apne daaman mein chhupaa lo musaafir hain Thikaana chaahte hain puraane zakhm bhar jaane se pahle nai ik choT khaanaa chaahte hain tumhaari yaad ke sayyaal moti meri palkon tak aanaa chaahte hain dar-e-dil par khaDe hain gham hazaaron ye panchhi aashiyaana chaahte hain ye aankhein aur bhar aati hain 'bismil' agar ham muskuraanaa chaahte hain"
Urdu

وفا کو جگمگانا چاہتے ہیں ہم اپنا دل جلانا چاہتے ہیں ہمیں تم اپنے دامن میں چھپا لو مسافر ہیں ٹھکانہ چاہتے ہیں پرانے زخم بھر جانے سے پہلے نئی اک چوٹ کھانا چاہتے ہیں تمہاری یاد کے سیال موتی میری پلکوں تک آنا چاہتے ہیں در دل پر کھڑے ہیں غم ہزاروں یہ پنچھی آشیانہ چاہتے ہیں یہ آنکھیں اور بھر آتی ہیں بسملؔ اگر ہم مسکرانا چاہتے ہیں

Hindi

वफ़ा को जगमगाना चाहते हैं हम अपना दिल जलाना चाहते हैं हमें तुम अपने दामन में छुपा लो मुसाफ़िर हैं ठिकाना चाहते हैं पुराने ज़ख़्म भर जाने से पहले नई इक चोट खाना चाहते हैं तुम्हारी याद के सय्याल मोती मेरी पलकों तक आना चाहते हैं दर-ए-दिल पर खड़े हैं ग़म हज़ारों ये पंछी आशियाना चाहते हैं ये आँखें और भर आती हैं 'बिस्मिल' अगर हम मुस्कुराना चाहते हैं

vafā ko jagmagānā chāhte haiñ
Bismil Sabri
Bismil Sabri
Bismil Sabri
poet11 quotes

More by Bismil Sabri

View all →
Quote
"vahi sitaara shab-e-gham kaa ik sitaara hai vo ik sitaara jo chashm-e-sahar mein rahtaa hai khuli fazaa kaa payaami havaa kaa baasi hai kahaan vo halqa-e-divaar-o-dar mein rahtaa hai jo mere honTon pe aae to gungunaaun use vo sher ban ke bayaaz-e-nazar mein rahtaa hai guzartaa vaqt miraa gham-gusaar kyaa hogaa ye khud taaaqub-e-shaam-o-sahar mein rahtaa hai miraa hi ruup hai tu ghaur se agar dekhe bagula saa jo tiri rahguzar mein rahtaa hai na jaane kaun hai jis ki talaash mein 'bismil' har ek saans miraa ab safar mein rahtaa hai"
Bismil SabriBismil Sabri
Quote
"sahar hui to khayaalon ne mujh ko gher liyaa jab aai shab tire khvaabon ne mujh ko gher liyaa mire labon pe abhi naam thaa bahaaron kaa hujum-e-shauq mein khaaron ne mujh ko gher liyaa kabhi junun ke zamaane kabhi firaaq-rutein kahaan kahaan tiri yaadon ne mujh ko gher liyaa nikal ke aa to gayaa gahre paaniyon se magar kai tarah ke saraabon ne mujh ko gher liyaa ye ji mein thaa ki nikal jaaun tujh se duur kahin ki tere dhyaan ki baanhon ne mujh ko gher liyaa jab aayaa iid kaa din ghar mein bebasi ki tarah to mere phuul se bachchon ne mujh ko gher liyaa hujum-e-ranj se kaise nikal sake 'bismil' tiri talaash ke rishton ne mujh ko gher liyaa"
Bismil SabriBismil Sabri
Quote
"hairaan huun ki ab laaun kahaan se main zabaan aur lab kahte hain kuchh aur unhein hotaa hai gumaan aur jaaein to kahaan jaaein mohabbat ke kharidaar arbaab-e-siyaasat ne to kholi hai dukaan aur maalum nahin hai mire sayyaad ko shaayad ghuTti hai agar saans to khulti hai zabaan aur ab vaada-e-fardaa mein kashish kuchh nahin baaqi dohraai hui baat guzarti hai giraan aur dekhegi jo ik pal mein miri aankh se tujh ko ho jaaegi duniyaa tiri jaanib nigaraan aur lag jaati hain mohrein si labon par unhein mil kar hotaa hai magar dil ke dhaDakne kaa samaan aur khulti hain nahin hashr ke din bhi miri aankhein shaayad ki muqaddar mein hai ik khvaab-e-giraan aur ham raakh hue us pe magar aanch na aai jalne kaa samaan aur jalaane kaa samaan aur go arz-o-talab ek hasin shaghl hai lekin is khel mein baDh jaataa hai andesha-e-jaan aur mearaaj-e-takallum hai khamoshi miri 'bismil' aati hi nahin koi mujhe tarz-e-fughaan aur"
Bismil SabriBismil Sabri
Quote
"apne ghamon ki baat nahin hai hansi ki baat is rang mein bhi karte hain ham zindagi ki baat daanishvaron ki bazm mein logo kahaan chale lo meri vahshaton se suno aagahi ki baat ahl-e-khirad pe farz huaa sajda-e-junun mahfil mein jab chhiDi miri divaangi ki baat barbaad hain bagule pareshaan shamim-e-gul pahunchi kahaan kahaan tiri aavaargi ki baat kyaa kyaa zamaana mujh pe lagaae na tohmatein lahja badal ke kah duun agar aap hi ki baat hai apni apni sab ko hi 'bismil' paDi hui suntaa nahin hai ghaur se koi kisi ki baat"
Bismil SabriBismil Sabri
Quote
"vo aks ban ke miri chashm-e-tar mein rahtaa hai ajiib shakhs hai paani ke ghar mein rahtaa hai vahi sitaara shab-e-gham kaa ik sitaara hai vo ik sitaara jo chashm-e-sahar mein rahtaa hai khuli fazaa kaa payaami havaa kaa baasi hai kahaan vo halqa-e-divaar-o-dar mein rahtaa hai jo mere honTon pe aae to gungunaaun use vo sher ban ke bayaaz-e-nazar mein rahtaa hai guzartaa vaqt miraa gham-gusaar kyaa hogaa ye khud taaaqub-e-shaam-o-sahar mein rahtaa hai miraa hi ruup hai tu ghaur se agar dekhe bagula saa jo tiri rahguzar mein rahtaa hai na jaane kaun hai jis ki talaash mein 'bismil' har ek saans miraa ab safar mein rahtaa hai"
Bismil SabriBismil Sabri

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari