SHAWORDS

vo sard faasla bas aaj kaTne vaalaa thaa — Kaifi Wijdani

HomeKaifi WijdaniGhazal
"vo sard faasla bas aaj kaTne vaalaa thaa main ik charaagh ki lau se lipaTne vaalaa thaa bahut bikheraa mujhe mere mehrbaanon ne miraa vajud hi lekin simaTne vaalaa thaa bachaa liyaa tiri khushbu ke farq ne varna main tere vahm mein tujh se lipaTne vaalaa thaa usi ko chumtaa rahtaa thaa vo ki us ko bhi 'aziz thaa vahi baazu jo kaTne vaalaa thaa mujhi ko raah badalni thi so badal Daali kahin pahaaD bhi Thokar se haTne vaalaa thaa talaash jis ki thi vo harf mil gayaa varna main ek saada varaq aur ulaTne vaalaa thaa ye kis ko tiir chalaane kaa shauq jaag uThaa vo baaz meri taraf hi jhapaTne vaalaa thaa"
Urdu

وہ سرد فاصلہ بس آج کٹنے والا تھا میں اک چراغ کی لو سے لپٹنے والا تھا بہت بکھیرا مجھے میرے مہربانوں نے مرا وجود ہی لیکن سمٹنے والا تھا بچا لیا تری خوشبو کے فرق نے ورنہ میں تیرے وہم میں تجھ سے لپٹنے والا تھا اسی کو چومتا رہتا تھا وہ کہ اس کو بھی عزیز تھا وہی بازو جو کٹنے والا تھا مجھی کو راہ بدلنی تھی سو بدل ڈالی کہیں پہاڑ بھی ٹھوکر سے ہٹنے والا تھا تلاش جس کی تھی وہ حرف مل گیا ورنہ میں ایک سادہ ورق اور الٹنے والا تھا یہ کس کو تیر چلانے کا شوق جاگ اٹھا وہ باز میری طرف ہی جھپٹنے والا تھا

Hindi

वो सर्द फ़ासला बस आज कटने वाला था मैं इक चराग़ की लौ से लिपटने वाला था बहुत बिखेरा मुझे मेरे मेहरबानों ने मिरा वजूद ही लेकिन सिमटने वाला था बचा लिया तिरी ख़ुश्बू के फ़र्क़ ने वर्ना मैं तेरे वहम में तुझ से लिपटने वाला था उसी को चूमता रहता था वो कि उस को भी 'अज़ीज़ था वही बाज़ू जो कटने वाला था मुझी को राह बदलनी थी सो बदल डाली कहीं पहाड़ भी ठोकर से हटने वाला था तलाश जिस की थी वो हर्फ़ मिल गया वर्ना मैं एक सादा वरक़ और उलटने वाला था ये किस को तीर चलाने का शौक़ जाग उठा वो बाज़ मेरी तरफ़ ही झपटने वाला था

vo sard fāsla bas aaj kaTne vaalā thā
K
Kaifi Wijdani
Kaifi Wijdani
poet18 quotes

More by Kaifi Wijdani

View all →
Quote
"phir ek baar tiraa tazkira nikal aayaa mujhe taraashaa to paikar tiraa nikal aayaa ye mere ghar ke darichon mein raushni kaisi yahaan charaagh kaa kyaa silsila nikal aayaa jo naqsh naqsh asiri kaa sehr jaante the un aainon se bhi saayaa miraa nikal aayaa main apne shor mein kab tak dabaa huaa rahtaa sadaaein detaa huaa be-sadaa nikal aayaa lipaT ke rotaa rahaa vo bujhe charaaghon se ki taaq taaq koi silsila nikal aayaa diyaa thaa jis ko zamaane ne tere qurb kaa naam mire hi qadmon se vo faasla nikal aayaa"
K
Kaifi Wijdani
Quote
"jab khema-zano! zor havaaon kaa ghaTegaa khuun meri hatheli kaa tanaabon pe malegaa ho pyaas to khud apne hi honTon kaa lahu chuus sukhi hui jhilon mein tujhe kuchh na milegaa jalte hue raston ke liye dekh liyaa kar khiDki na khulegi to dhuaan aur ghuTegaa basti mein gharibon ki jahaan aag lagi thi sunte hain vahaan ek nayaa shahr basegaa peDon ki agar nasl-kushi khatm nahin ki kuchh din mein yahaan peDon kaa saaya bhi bikegaa bas aag ubal sakti hain ye murda zaminein bekaar si koshish hai yahaan kuchh na ugegaa vo murda-dili shaam se pahle ki adaa thi is vaqt to 'kaifi' kisi maqtal mein milegaa"
K
Kaifi Wijdani
Quote
"aaina thaa to jo chehra thaa miraa apnaa thaa mujh mein jo aks bhi utraa thaa miraa apnaa thaa vo jo aahaT thi koi ruup nahin dhaar saki vo jo divaar pe saayaa thaa miraa apnaa thaa vo jo honTon pe tapan si thi vo meri zid thi vo jo dariyaaon pe pahraa thaa miraa apnaa thaa mere raste mein jo raunaq thi mere fan ki thi mere ghar mein jo andheraa thaa miraa apnaa thaa ajnabiyyat kaa vo ehsaas thaa meri qismat vo jo apnaa nahin lagtaa thaa miraa apnaa thaa meri sochon mein jo manzil thi meri apni thi mere qadmon mein jo rasta thaa miraa apnaa thaa sirf paani pe to qabza thaa mere dushman kaa mujh mein jo khuun kaa dajla thaa miraa apnaa thaa"
K
Kaifi Wijdani
Quote
"khud hi uchhaalun patthar khud hi sar par le luun jab chaahun suune mausam se manzar le luun aaine se meraa qaatil mujh ko pukaare laao main bhi apne haathon patthar le luun jin raston ne jaan o dil par zakhm sajaae un raston se pujne vaale patthar le luun main shankar se zahr kaa pyaala chhin ke pi luun lahje ke is karb mein saare manzar le luun mujh se kahe to apne dil ki baat vo zaalim us ke dil kaa bojh main apne sar par le luun kuchh le de kar baat banaa luun apni 'kaifi' kuchh duniyaa ko hans kar duun kuchh ro kar le luun"
K
Kaifi Wijdani
Quote
"vo aaj lauT bhi aae to is se kyaa hogaa ab us nigaah kaa patthar se saamnaa hogaa zamin ke zakhm samundar to bhar na paaegaa ye kaam dida-e-tar tujh ko saunpnaa hogaa hazaar neze udhar aur main idhar tanhaa miri shikast kaa unvaan hi dusraa hogaa jo tez dhuup mein saayon ki fasl bote hain yahaan ki aab o havaa kaa unhein pata hogaa main aur ek qadam us ki samt baDh jaataa pata na thaa ki vo itnaa gurez-paa hogaa miraa yaqin hai ki raah-e-vafaa mein mere baad miraa safar tire qadmon ne tai kiyaa hogaa"
K
Kaifi Wijdani