SHAWORDS

ye dil bas mein kabhi mere rahaa naiin — Azra Naqvi

HomeAzra NaqviGhazal
"ye dil bas mein kabhi mere rahaa naiin kabhi yaadon kaa daaman chhoDtaa naiin bhulaaein kaise amrohe ki galiyaan abhi lahje se amroha gayaa naiin yahin gum-karda apnaa aashiyaan thaa jahaan baaqi koi ab aashnaa naiin shikasta ho chuke mehraab-o-dar sab abhi tak zehn se naqsha gayaa naiin hamaare naam ki takhti nahin hai magar vo ghar to khvaabon se gayaa naiin main samjhun huun tumhaari be-qaraari miyaan guzraa zamaana lauTtaa naiin kisi saffaak hijrat ke sitam se zamin se apnaa rishta TuTtaa naiin tumhaari shaairaana be-khudi ko kisi sarhad pe koi roktaa naiin bahut thi dhuum jashn-e-rekhta mein tumhaare naam ki tum ne sunaa naiin tumhaari shaairi par sar dhune hain magar ye log urdu aashnaa naiin paDi hai shaairi ghuTTi mein 'azraa' magar kuchh mo'atabar ab tak kahaa naiin"
Urdu

یہ دل بس میں کبھی میرے رہا نئیں کبھی یادوں کا دامن چھوڑتا نئیں بھلائیں کیسے امروہے کی گلیاں ابھی لہجے سے امروہہ گیا نئیں یہیں گم کردہ اپنا آشیاں تھا جہاں باقی کوئی اب آشنا نئیں شکستہ ہو چکے محراب و در سب ابھی تک ذہن سے نقشہ گیا نئیں ہمارے نام کی تختی نہیں ہے مگر وہ گھر تو خوابوں سے گیا نئیں میں سمجھوں ہوں تمہاری بے قراری میاں گزرا زمانہ لوٹتا نئیں کسی سفاک ہجرت کے ستم سے زمیں سے اپنا رشتہ ٹوٹتا نئیں تمہاری شاعرانہ بے خودی کو کسی سرحد پہ کوئی روکتا نئیں بہت تھی دھوم جشن ریختہ میں تمہارے نام کی تم نے سنا نئیں تمہاری شاعری پر سر دھنے ہیں مگر یہ لوگ اردو آشنا نئیں پڑی ہے شاعری گھٹی میں عذراؔ مگر کچھ معتبر اب تک کہا نئیں

Hindi

ये दिल बस में कभी मेरे रहा नईं कभी यादों का दामन छोड़ता नईं भुलाएँ कैसे अमरोहे की गलियाँ अभी लहजे से अमरोहा गया नईं यहीं गुम-कर्दा अपना आशियाँ था जहाँ बाक़ी कोई अब आश्ना नईं शिकस्ता हो चुके मेहराब-ओ-दर सब अभी तक ज़ेहन से नक़्शा गया नईं हमारे नाम की तख़्ती नहीं है मगर वो घर तो ख़्वाबों से गया नईं मैं समझूँ हूँ तुम्हारी बे-क़रारी मियाँ गुज़रा ज़माना लौटता नईं किसी सफ़्फ़ाक हिजरत के सितम से ज़मीं से अपना रिश्ता टूटता नईं तुम्हारी शाइ'राना बे-ख़ुदी को किसी सरहद पे कोई रोकता नईं बहुत थी धूम जश्न-ए-रेख़्ता में तुम्हारे नाम की तुम ने सुना नईं तुम्हारी शाइ'री पर सर धुने हैं मगर ये लोग उर्दू आश्ना नईं पड़ी है शाइ'री घुट्टी में 'अज़रा' मगर कुछ मो'तबर अब तक कहा नईं

ye dil bas meñ kabhī mere rahā na.iiñ
Azra Naqvi
Azra Naqvi
Azra Naqvi
poet23 quotes

More by Azra Naqvi

View all →
Quote
"ik muddat ke baa'd mili ehsaas jagaati tanhaai khaamoshi se dhire dhire ghar mahkaati tanhaai aavaazon ki bhiiD mein jab bhi mujh ko pareshaan dekhaa hai haath pakaD kar le aai hai kuchh samjhaati tanhaai aankhon se jab niind bhaTak kar sahraa sahraa ghumti hai mere sirhaane raat gae tak lori gaati tanhaai bachpan mein jab garm do-pahri nange paanv phirti thi aam ke baaghon mein milti thi ras barsaati tanhaai pyaar ki khvaab-ruton mein kaisi jaagi soi rahti thi chaand hinDole mein jhuli thi jab madh-maati tanhaai pahron ham ne baatein ki hain pahron khvaab sajaae hain main roi to mujh se chhup kar ashk bahaati tanhaai bahut dinon ke baa'd sanvar kar apnaa chehra dekhaa thaa aaine se jhaank rahi thi aankh churaati tanhaai"
Azra NaqviAzra Naqvi
Quote
"har raat sitaaron kaa safar mere liye hai har roz nai taaza sahar mere liye hai ik shahr-e-tilismaat mujhe DhunD rahaa hai bechain koi raahguzar mere liye hai jab chaahun takhayyul se kisi daur mein ji luun lamhon mein ye sadiyon kaa safar mere liye hai kahte hain samundar mein kai raaz chhupe hain sandes liye koi bhanvar mere liye hai guzre hue fankaaron ki miraas mili hai un sab ki riyaazat kaa samar mere liye hai shikve to bahut tujh se hain ai jaan magar tu chhitnaar mohabbat kaa shajar mere liye hai"
Azra NaqviAzra Naqvi
Quote
"aadhi jaagi aadhi soi raat bhi thi gahnaai si aankh khuli to dar pe khaDi thi subh bhi kuchh kumhlaai si din-bhar piiTh pe Dhoyaa suraj chehre par thi gard jami saath mein daftar se ghar lauTi shaam bhi kuchh uktaai si andeshon ki ungli thaame saal guzarte rahte hain kabhi kabhi lagne lagti hai apni umr paraai si lauT ke jaanaa naa-mumkin hai aage manzar dhundle hain baDhte qadmon mein haail hai khauf ki gahri khaai si sukhe sukhe jamunaa taT par piilaa piilaa taaj-mahal subh-e-banaras dhundli dhundli gangaa ji gadlaai si"
Azra NaqviAzra Naqvi
Quote
"airport station saDkon par hain kitne saare log jaane kaun se sukh ki khaatir phirte maare maare log shaam gae ye manzar ham ne mulkon mulkon dekhaa hai ghar lauTein bojhal qadmon se bujhe hue angaare log sab se shaaki khud se naalaan apni aag mein jalte hain dukh ke sivaa aur kyaa baanTeinge in jaise andhiyaare log pur-nam aankhon bojhal dil se kitni baar vidaai li kitnaa bojh liye phirte hain ham jaise banjaare log vo kitne khush-qismat the jo apne gharon ko lauT gae shahron shahron ghuum rahe hain ham haalaat ke maare log raat gae yaadon ke jangal mein divaali hoti hai diip sajaae aa jaate hain bhule bisre pyaare log bachpan kitnaa pyaaraa thaa jab dil ko yaqin aa jaataa thaa marte hain to ban jaate hain aasmaan ke taare log"
Azra NaqviAzra Naqvi

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari