"kabhi ik nayaa aasmaan DhunDhti huun kabhi koi jaa-e-amaan DhunDhti huun vo ik khvaab jo main ne dekhaa nahin thaa ab us khvaab ki dhajjiyaan DhunDhti huun mujhe meri hasti se aazaad kar de vo ik lamha-e-jaavedaan DhunDhti huun adaakaar chehron ki gahraaiyon mein kahin sach ki parchhaaiyaan DhunDhti huun jo patthar se alfaaz mein jaan Daale vo andaaz-e-sehrul-bayaan DhunDhti huun nahin koi divaar-e-girya mayassar koi meherbaan raaz-daan DhunDhti huun"
ik muddat ke baa'd mili ehsaas jagaati tanhaai — Azra Naqvi
"ik muddat ke baa'd mili ehsaas jagaati tanhaai khaamoshi se dhire dhire ghar mahkaati tanhaai aavaazon ki bhiiD mein jab bhi mujh ko pareshaan dekhaa hai haath pakaD kar le aai hai kuchh samjhaati tanhaai aankhon se jab niind bhaTak kar sahraa sahraa ghumti hai mere sirhaane raat gae tak lori gaati tanhaai bachpan mein jab garm do-pahri nange paanv phirti thi aam ke baaghon mein milti thi ras barsaati tanhaai pyaar ki khvaab-ruton mein kaisi jaagi soi rahti thi chaand hinDole mein jhuli thi jab madh-maati tanhaai pahron ham ne baatein ki hain pahron khvaab sajaae hain main roi to mujh se chhup kar ashk bahaati tanhaai bahut dinon ke baa'd sanvar kar apnaa chehra dekhaa thaa aaine se jhaank rahi thi aankh churaati tanhaai"
اک مدت کے بعد ملی احساس جگاتی تنہائی خاموشی سے دھیرے دھیرے گھر مہکاتی تنہائی آوازوں کی بھیڑ میں جب بھی مجھ کو پریشاں دیکھا ہے ہاتھ پکڑ کر لے آئی ہے کچھ سمجھاتی تنہائی آنکھوں سے جب نیند بھٹک کر صحرا صحرا گھومتی ہے میرے سرہانے رات گئے تک لوری گاتی تنہائی بچپن میں جب گرم دوپہری ننگے پاؤں پھرتی تھی آم کے باغوں میں ملتی تھی رس برساتی تنہائی پیار کی خواب رتوں میں کیسی جاگی سوئی رہتی تھی چاند ہنڈولے میں جھولی تھی جب مدھ ماتی تنہائی پہروں ہم نے باتیں کی ہیں پہروں خواب سجائے ہیں میں روئی تو مجھ سے چھپ کر اشک بہاتی تنہائی بہت دنوں کے بعد سنور کر اپنا چہرہ دیکھا تھا آئینے سے جھانک رہی تھی آنکھ چراتی تنہائی
इक मुद्दत के बा'द मिली एहसास जगाती तन्हाई ख़ामोशी से धीरे धीरे घर महकाती तन्हाई आवाज़ों की भीड़ में जब भी मुझ को परेशाँ देखा है हाथ पकड़ कर ले आई है कुछ समझाती तन्हाई आँखों से जब नींद भटक कर सहरा सहरा घूमती है मेरे सिरहाने रात गए तक लोरी गाती तन्हाई बचपन में जब गर्म दो-पहरी नंगे पाँव फिरती थी आम के बाग़ों में मिलती थी रस बरसाती तन्हाई प्यार की ख़्वाब-रुतों में कैसी जागी सोई रहती थी चाँद हिंडोले में झूली थी जब मध-माती तन्हाई पहरों हम ने बातें की हैं पहरों ख़्वाब सजाए हैं मैं रोई तो मुझ से छुप कर अश्क बहाती तन्हाई बहुत दिनों के बा'द सँवर कर अपना चेहरा देखा था आईने से झाँक रही थी आँख चुराती तन्हाई

More by Azra Naqvi
View all →"har raat sitaaron kaa safar mere liye hai har roz nai taaza sahar mere liye hai ik shahr-e-tilismaat mujhe DhunD rahaa hai bechain koi raahguzar mere liye hai jab chaahun takhayyul se kisi daur mein ji luun lamhon mein ye sadiyon kaa safar mere liye hai kahte hain samundar mein kai raaz chhupe hain sandes liye koi bhanvar mere liye hai guzre hue fankaaron ki miraas mili hai un sab ki riyaazat kaa samar mere liye hai shikve to bahut tujh se hain ai jaan magar tu chhitnaar mohabbat kaa shajar mere liye hai"
"kis ki parchhaain mire saath safar karti hai kaun hai ye jo miri umr basar karti hai khvaab ke shahr banaati hai miri ik hamraaz aur phir khud hi mujhe shahr-badar karti hai koi aavaaz kahin DhunDhti phirti hai mujhe intizaar arse se ik raahguzar karti hai isi ummid pe likhti huun hadis-e-dil-e-zaar dil se nikli hui har baat asar karti hai lafz-o-maani ke samundar mein koi saaat-e-nur kisi takhliq ke lamhe ko guhar karti hai"
"aadhi jaagi aadhi soi raat bhi thi gahnaai si aankh khuli to dar pe khaDi thi subh bhi kuchh kumhlaai si din-bhar piiTh pe Dhoyaa suraj chehre par thi gard jami saath mein daftar se ghar lauTi shaam bhi kuchh uktaai si andeshon ki ungli thaame saal guzarte rahte hain kabhi kabhi lagne lagti hai apni umr paraai si lauT ke jaanaa naa-mumkin hai aage manzar dhundle hain baDhte qadmon mein haail hai khauf ki gahri khaai si sukhe sukhe jamunaa taT par piilaa piilaa taaj-mahal subh-e-banaras dhundli dhundli gangaa ji gadlaai si"
"bahut dinon se hamaaraa khvaabon se koi bhi raabta nahin hai kuchh aise kaar-e-jahaan mein khoe ki apnaa bhi kuchh pata nahin hai ye naa-umidi ki intihaa hai ki aagahi ki hai koi manzil ye dil ko kyaa aariza huaa hai ise kisi se gila nahin hai hamesha sach bolne ki aadat hai kyaa karein bolte raheinge qadam qadam par hai aazmaaish ki sahl ye marhala nahin hai ham un ki har baat maan lete to zindagi chain se guzarti bas izzat-e-nafs rokti hai anaa kaa ye masala nahin hai yunhi bhaTakte phireinge kab tak khud apne andar talaash kar lein jahaan mukammal sukun mayassar ho aisi koi jagah nahin hai bas ik pareshaan hujum ke saath ham bhi shaamil hain chal rahe hain na koi naqsh-e-qadam salaamat kahin koi raasta nahin hai ye shaam itni udaas kyon hai kahin koi haadisa huaa hai ye khuun ki surkhi shafaq ke rangon mein ghul gai be-vajah nahin hai sitaara-e-subh DhunDte hain ghubaar-aaluda mausamon mein nazar se ojhal to ho gayaa hai magar abhi gum-shuda nahin hai"
"airport station saDkon par hain kitne saare log jaane kaun se sukh ki khaatir phirte maare maare log shaam gae ye manzar ham ne mulkon mulkon dekhaa hai ghar lauTein bojhal qadmon se bujhe hue angaare log sab se shaaki khud se naalaan apni aag mein jalte hain dukh ke sivaa aur kyaa baanTeinge in jaise andhiyaare log pur-nam aankhon bojhal dil se kitni baar vidaai li kitnaa bojh liye phirte hain ham jaise banjaare log vo kitne khush-qismat the jo apne gharon ko lauT gae shahron shahron ghuum rahe hain ham haalaat ke maare log raat gae yaadon ke jangal mein divaali hoti hai diip sajaae aa jaate hain bhule bisre pyaare log bachpan kitnaa pyaaraa thaa jab dil ko yaqin aa jaataa thaa marte hain to ban jaate hain aasmaan ke taare log"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"