Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Akhtar Hashmi
jangalon kaa na hi baaghaat kaa paalaa huaa hai
ye kabutar to mire haath kaa paalaa huaa hai
amn kaa ye jo parinda hai amaan mein meri
ye miri niyyat-e-isbaat kaa paalaa huaa hai
· · ·
Akhtar Hashmi
main tire lutf-o-karam kaa jab se ras piine lagaa
bas tabhi se khul ke apni zindagi jiine lagaa
ai bulandi chaahne vaale bhaTak mat aa udhar
mere shaanon ke sahaare arsh tak ziine lagaa
· · ·
Akhtar Hashmi
hai ghazal se tujh ko shaghaf agar sabhi masalon ko sukhan banaa
gham-e-rozgaar ki baat kar tu aziyyaton ko sukhan banaa
kabhi mah-rukhon mein ulajh gayaa kabhi khushbuon ke hisaar mein
mire shauq-e-taba ne raae di tu na gesuon ko sukhan banaa
· · ·
Akhtar Hashmi
ham us se ishq kaa izhaar kar ke dekhte hain
kiyaa hai jurm to iqraar kar ke dekhte hain
hai ishq jang to phir jiit lein chalo ham log
hai dariyaa aag kaa to paar kar ke dekhte hain
· · ·
Akhtar Hashmi
duniyaa ki har sharaab se behtar tiri sharaab
piite hain tere yaar baraabar tiri sharaab
is mai-kade ke kyaa kahin zaahid bhi rind hain
kis shaan se vo piite hain khul kar tiri sharaab
· · ·
Akhtar Hashmi
har taraf be-hisaab khaamoshi
lag rahi hai azaab khaamoshi
jis ki aadat thi bolte rahnaa
us pe kyon hai janaab khaamoshi
· · ·
Akhtar Hashmi
sher-goi mein sadaa meyaar-e-fan rakkhaa karo
aur samundar fikr kaa bhi maujzan rakkhaa karo
vahshatein tanhaaiyon ki tum ko ghere hon agar
khud hi apni zaat mein ik anjuman rakkhaa karo
· · ·
Akhtar Hashmi
kaise samjhegaa sadaf kaa vo guhar se rishta
jo samajh paae na aankhon kaa nazar se rishta
mo'atabar sar hi banaa lo to bahut achchhaa hai
kam hi rah paataa hai dastaar kaa sar se rishta
· · ·
Akhtar Hashmi
nazm khabron ko kiyaa aur na latife likkhe
main ne ashaar mein jiine ke saliqe likkhe
martabe ahl-e-sukhan ke tumhein tai karne hain
kis ne haq baat kahi kis ne qaside likkhe
· · ·
Akhtar Hashmi
zindagi se paas lekin husn ke qisse se duur
ham ghazal rakhte hain apni zulf ke saae se duur
ham se jin ko unsiyat hai vo khinche aa jaaeinge
un ko kyaa nazdik laaein jo hain khud pahle se duur
· · ·







