Quote
"pas-e-tauba hadis-e-mutrib-o-paimaana kahte hain ye ik bhulaa huaa par aaj ham afsaana kahte hain koi khun-e-tamannaa ho jhalak aataa hai aaankhon mein isi ko ittihaad-e-baada-o-paimaana kahte hain tabaahi dil ki dekhi hai jo ham ne apni aaankhon se ho ab kaisi hi basti ham use viraana kahte hain fanaa hone mein soz-e-shama ki minnat-kashi kaisi jale jo aag mein apni use parvaana kahte hain jafaa par sabr sikhaa hai vafaa par jaan jaati hai yahi hai aur kis ko tohmat-e-mardaana kahte hain tumhaari zulf-e-pechaan mein rahaa kyun-kar dil-e-vahshi tuDaa le jaae jo zanjir use divaana kahte hain maaaz-allaah teraa husn teri bazm-e-ishrat mein ye vo mahfil hai jis mein shama ko parvaana kahte hain yahaan to jaan tak de di 'nazar' paadaash-e-ulfat mein magar bedaad-gar baaqi abhi jurmaana kahte hain"







