SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals bySarfraz Zahid(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"kabhi honTon pe aisaa lams apni aankh khole ki bosaa khud-kushi karne se pahle muskuraa de koi aansu chamakne mein hamaaraa saath detaa to zohra aur ataarid apne ghar ki raah lete lajaa kar raat ne kuchh aur bhi ghunghaT nikaalaa talab ne jism pahnaa shauq ne gahne utaare tasavvur mein Tahalte khaal-o-khad kyaa chaahte hain udaasi se kaho tasvir ki aankhon se puchhe dukaan ik saamne aisi achaanak aa gai thi jahaan mumkin na thaa ham apni jebon mein samaate bhikaaran jaate jaate pichhe muD kar dekh le to main us ke naam kar duun dil ke maftuha 'ilaaqe utar aatin tire jhilon pe sustaane ko Daarein to us din ham bhi apne ghaar se baahar nikalte"
Sarfraz ZahidSarfraz Zahid
Quote
"nazar ki dhuup mein aane se pahle gulaabi thaa vo sanvlaane se pahle sunaa hai koi divaana yahaan par rahaa kartaa thaa viraane se pahle khilaa karte the khvaabon mein kisi ke tire takiye pe murjhaane se pahle mohabbat aam saa ik vaaqia thaa hamaare saath pesh aane se pahle nazar aate the ham ik dusre ko zamaane ko nazar aane se pahle taajjub hai ki is dharti pe kuchh log jiyaa karte the mar jaane se pahle rahaa kartaa thaa apne zoam mein vo hamaare dhyaan mein aane se pahle muzayyan thi kisi ke khaal-o-khad se hamaari shaam paimaane se pahle"
Sarfraz ZahidSarfraz Zahid
Quote
"havaa chalti hai dam Thahraa huaa hai fazaa mein kis kaa gham Thahraa huaa hai tasavvur mein ubharte khaal-o-khad par musavvir kaa qalam Thahraa huaa hai usi ko apni manzil kah rahaa hai jahaan jis kaa qadam Thahraa huaa hai samaaat ke jaziron mein kahin par tire lahje kaa ram Thahraa huaa hai zaraa Thahro ki chalti hai abhi saans chale aao ki dam Thahraa huaa hai mire khvaabon ke rukhsaaron pe ab tak kisi bose kaa nam Thahraa huaa hai khudaa bhi hai usi kuche kaa baasi jahaan meraa sanam Thahraa huaa hai"
Sarfraz ZahidSarfraz Zahid
Quote
"aisi vaisi pe qanaa'at nahin kar sakte ham daan ye faqr ki daulat nahin kar sakte ham ik 'adaavat se faraaghat nahin milti varna kaun kahtaa hai mohabbat nahin kar sakte ham kisi taa'bir ki surat mein nikal aate hain apne khvaabon mein sukunat nahin kar sakte ham isti'aaron ke takalluf mein paDe hain jab se apne hone ki vazaahat nahin kar sakte ham shaakh se toD liyaa karte hain aage baDh kar jin ki khush-bu pe qanaa'at nahin kar sakte ham be-khabar yuun ki har ik baat khabar lagti hai baa-khabar aise ki hairat nahin kar sakte ham"
Sarfraz ZahidSarfraz Zahid
Quote
"khvaab mein manzar rah jaataa hai takiye par sar rah jaataa hai aa paDti hai jhiil aankhon mein haath mein patthar rah jaataa hai roz kisi hairat kaa dhabba aaine par rah jaataa hai dil mein basne vaalaa ik din jeb ke andar rah jaataa hai nadiyaa par milne kaa vaada mez ke uupar rah jaataa hai saal guzar jaataa hai saaraa aur calender rah jaataa hai aangan ki khvaahish mein koi baam ke uupar rah jaataa hai lag jaati hai naav us paar aur samundar rah jaataa hai rukhsat hote hote koi darvaaze par rah jaataa hai"
Sarfraz ZahidSarfraz Zahid
Quote
"mil-jul kar imaan khudaa par laa sakte hain ik jannat mein bhuuk aur pyaas samaa sakte hain aap agar samjhaa dein khaal-o-khad manzar ke ham apni hairat kaa naam bataa sakte hain mere khaliyaanon se uThte aag ke shoale jhonke tere baaghon tak phailaa sakte hain kamre ke dam ghuT jaane kaa khauf na ho to ham apni tanhaai ko dohraa sakte hain niind uDaa sakte hain dushman ke lashkar ki malika ke khvaabon se phuul churaa sakte hain aap agar palkon ki chaukhaT tak aa jaaein ham apni tasvir se baahar aa sakte hain lamha itni gunjaaish rakhtaa hai khud mein aap is mein aane se pahle jaa sakte hain ham bechain khilaune ik din muuD mein aa kar jismon ke show-case se baahar aa sakte hain kar sakte hain dariyaa ko ik misre mein qaid aur sahraa ko ghar ki raah dikhaa sakte hain palkon ki darzon se jhaankne vaale ik din rukhsaaron par aa kar shor machaa sakte hain"
Sarfraz ZahidSarfraz Zahid
Quote
"bhanvar mein mashvare paani se letaa huun main har mushkil ko aasaani se letaa huun jahaan daanaai deti hai koi mauqaa vahaan main kaam naadaani se letaa huun vo mansube hain kuchh aabaad hone ke main jin par raae viraani se letaa huun ab apne aablon ki ghaaTiyon se bhi samundar dekh aasaani se letaa huun nahin letaa magar lene pe aauun to main badla aag kaa paani se letaa huun nazar-andaaz kar deti hai jab duniyaa janam khud apni hairaani se letaa huun jahaan mushkil mein paD jaate hain gird-o-pesh vahaan main saans aasaani se letaa huun lagaataa hai miri binaai par tohmat main fatve jis ki uryaani se letaa huun"
Sarfraz ZahidSarfraz Zahid