Quote
"apnaa haq hi maang rahe hain tum se ham ham ne tum se maangi kuchh khairaat nahin tabdili to ham mein bhi aai hai zaraa tum mein bhi ab pahle jaisi baat nahin"
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
"apnaa haq hi maang rahe hain tum se ham ham ne tum se maangi kuchh khairaat nahin tabdili to ham mein bhi aai hai zaraa tum mein bhi ab pahle jaisi baat nahin"
"aakhiri ab khatm hone ko hai baab-e-zindagi lo mukammal ho gai 'zebi' kitaab-e-zindagi likh rahi huun naam tere intisaab-e-zindagi sirf tu hai sirf tu hai intikhaab-e-zindagi raahaton ke aur ghamon ke saare mausam tujh se hain tu jamaal-e-fikr-o-fan tu aaftaab-e-zindagi apne apne har amal kaa goshvaara saath hai ab tumhaare ru-ba-ru hogaa hisaab-e-zindagi apni apni uljhanon mein ab hain sab uljhe hue ab nahin baaqi kahin aankhon mein taab-e-zindagi hai amal hi se mayassar raahat-e-qalb-o-jigar baa-amal hai jo vahi hai kaamyaab-e-zindagi ab na ikhlaas-o-muravvat hai na logon mein vafaa kasrat-e-zar ne badal Daalaa nisaab-e-zindagi"
"kirdaar hai aur apni kahaani se juDaa hai insaan to bas aalam-e-faani se juDaa hai main kaise kahun pyaas se marte nahin panchhi ye saans kaa rishta bhi to paani se juDaa hai dil ab bhi tiri aarzu kartaa hai musalsal dil ab bhi miraa yaad ke paani se juDaa hai har shakhs hi duniyaa se chalaa jaaegaa ik din har shakhs hi jab naql-e-makaani se juDaa hai is gham ko bhi ab dil mein jagah deni paDegi ye gham bhi mire saath javaani se juDaa hai ye dard miri jaan kaa dushman banaa 'zebi' is dard kaa rishta bhi ravaani se juDaa hai"
"majnun banaa diyaa to mukammal banaa diyaa mujh ko to mere ishq ne paagal banaa diyaa dil ne kisi ki yaad ko chhoDaa nahin kabhi dil ne kisi ki yaad ko aanchal banaa diyaa itnaa main teri yaad mein barsi huun TuuT kar aankhon ko jaise main ne to baadal banaa diyaa logon kaa ik hujum thaa jaane kidhar gayaa basti ko kis ne raat mein jangal banaa diyaa koi to is jahaan mein hai naa-pukhta aur khaam yaa rab kisi ko tu ne mukammal banaa diyaa koi to ilm-o-fikr mein hai bahr-e-be-karaan insaan koi tu ne to ajhal banaa diyaa 'zebi' main khud ko sonaa samajhti thi aur bas mujh ko kisi ne dekh lo pital banaa diyaa"
"tiraa khayaal hai ab chashm-e-tar kaa zaaviya dekh tire baghair bhi zinda huun meraa hausla dekh idhar sitam ki havaa hauslon ke diip udhar mayaan-e-baatil-o-haq hai bapaa jo maarka dekh dilon ke khel mein rusvaai bhi hai gham bhi hain ye pahle soch le phir kar koi muaahida dekh dil-o-nigaah mein rakh sirf manzil-e-maqsud kiyaa hai azm safar kaa to phir na faasla dekh tujhe kahaa thaa ki itni na Dhiil de dil ko so ab rukegaa kahaan khvaahishon kaa qaafila dekh abhi hai vaqt yahin saath chhoD de meraa bahut kaThin hai miri jaan vafaa kaa raasta dekh vo dekh saamne raushan charaagh-e-manzil hai hai 'zebi' azm safar kaa to phir na faasla dekh"
"insaan koi bhi to farishta banaa nahin sach puchhiye to koi yahaan be-khataa nahin vo jis ko apne dil kaa fasaana sunaa sakein ham ko to koi shakhs abhi tak milaa nahin chehra badal badal ke vo aayaa hai baar-baar vo ho kisi bhi chehre mein mujh se chhupaa nahin kashti ko tu ne chhoD diyaa yuun hi naakhudaa kyaa tu samajh rahaa hai hamaaraa khudaa nahin qaaem rahe jo tauba pe saaqi ke ru-ba-ru aisaa to mai-kade mein koi paarsaa nahin ham hain qusur-vaar hamein e'tiraaf hai tohmat lagaane vaale bhi to devtaa nahin vo bevafaa thaa chhoD ke mujh ko chalaa gayaa main bhuul jaaun us ko magar bhultaa nahin us ke qarib jaaun to miltaa nahin hai vo aur duur ho bhi jaaun to mujh se judaa nahin 'zebi' rafiq hote hain sab achchhe daur ke jab vaqt ho kaDaa koi pahchaantaa nahin"
"aisaa hai kaun jo mujhe haq tak rasaai de dekhun jise bhi khauf-zada saa dikhaai de apne hain shahr bhar mein paraayaa koi nahin phir bhi hamaaraa dil hai jo tanhaa dikhaai de takhsis koi zaalim o mazlum ki nahin koi duhaai de bhi to kis ki duhaai de hamdard hon ghayur hon aur pur-khulus hon ai kaarsaaz bahnon ko ab aise bhaai de ye zindagi hai apni kabhi khush kabhi udaas is kashmakash se mujh ko khudaayaa rihaai de 'zebi' ajiib daur hai ye vahshaton kaa daur saaya bhi apnaa maut kaa saaya dikhaai de"