Shayari
barq o simaab kaa 'aaghaa' na rahe naam-o-nishaan
dil ki betaabi se ik baar jo muztar main huun
A
Aagha Akbarabadijunun ke haath se hai in dinon garebaan tang
qabaa pukaarti hai taar taar ham bhi hain
جنوں کے ہاتھ سے ہے ان دنوں گریباں تنگ
قبا پکارتی ہے تار تار ہم بھی ہیں
जुनूँ के हाथ से है इन दिनों गरेबाँ तंग
क़बा पुकारती है तार तार हम भी हैं
barq o simaab kaa 'aaghaa' na rahe naam-o-nishaan
dil ki betaabi se ik baar jo muztar main huun
haath donon miri gardan mein hamaail kiije
aur ghairon ko dikhaa diije anguThaa apnaa
tavaaf-e-kaaba ko kyaa jaaein haj nahin vaajib
kalaal-khaane ke kuchh din-daar ham bhi hain
sharaab piite hain to jaagte hain saari raat
mudaam aabid-e-shab-zinda-daar ham bhi hain
do-shaala shaal kashmiri amiron ko mubaarak ho
galim-e-kohna mein jaaDaa faqiron kaa basar hogaa
hamein to un ki mohabbat hai koi kuchh samjhe
hamaare saath mohabbat unhein nahin to nahin