Shayari
dar-haqiqat ittisaal-e-jism-o-jaan hai zindagi
ye haqiqat hai ki arbaab-e-himam ke vaaste
mujhe bhi ik sitamgar ke karam se
sitam sahne ki aadat ho gai hai
مجھے بھی اک ستم گر کے کرم سے
ستم سہنے کی عادت ہو گئی ہے
मुझे भी इक सितमगर के करम से
सितम सहने की आदत हो गई है

dar-haqiqat ittisaal-e-jism-o-jaan hai zindagi
ye haqiqat hai ki arbaab-e-himam ke vaaste
ye mai-khaana hai mai-khaana taqaddus us kaa laazim hai
yahaan jo bhi qadam rakhnaa hamesha baa-vazu rakhnaa
gila mujh se thaa yaa meri vafaa se
miri mahfil se kyuun barham gae vo
maslahat kaa yahi taqaazaa hai
vo na maanein to maan jaao tum
umiid un se vafaa ki to khair kyaa kiije
jafaa bhi karte nahin vo kabhi jafaa ki tarah
chaarasaazon ki chaara-saazi se
aur bimaar ki dashaa bigDi