Shayari
nasl-e-aadam rafta rafta khud ko kar legi tabaah
itni sakhti se qayaamat pesh aaegi na puchh
savaal aa gae aankhon se chhin ke honTon par
hamein javaab na dene kaa faaeda to milaa
سوال آ گئے آنکھوں سے چھن کے ہونٹوں پر
ہمیں جواب نہ دینے کا فائدہ تو ملا
सवाल आ गए आँखों से छिन के होंटों पर
हमें जवाब न देने का फ़ाएदा तो मिला

nasl-e-aadam rafta rafta khud ko kar legi tabaah
itni sakhti se qayaamat pesh aaegi na puchh
darmiyaan jo jism kaa parda hai kaise hogaa chaak
maut kis tarkib se ham ko milaaegi na puchh
khud-kushi kaa faisla ye soch kar ham ne kiyaa
kaun kartaa zindagi kaa maut se achchhaa ilaaj
ghaur se dekhte rahne ki sazaa paai hai
teri tasvir in aankhon mein utar aai hai
jab yahaan rahne ke sab asbaab yakjaa kar liye
tab khulaa mujh par ki main duniyaa kaa baashinda na thaa
chaahein to is ko tegh-e-khamoshi se kaaT dein
lekin junun se jang zabaani kareinge ham