Shayari
baahar insaanon se nafrat hai lekin
ghar mein Dheron bachche paidaa karte hain
main us ki pahchaan huun yaa vo meri
kyaa samjhun aur vo samjhaae kyaa kyaa
میں اس کی پہچان ہوں یا وہ میری
کیا سمجھوں اور وہ سمجھائے کیا کیا
मैं उस की पहचान हूँ या वो मेरी
क्या समझूँ और वो समझाए क्या क्या

baahar insaanon se nafrat hai lekin
ghar mein Dheron bachche paidaa karte hain
kaun qatre mein uThaataa hai talaatum
aur antar-aatmaa tak sinchtaa hai
chaand mein darvesh hai jugnu mein jogi
kaun hai vo aur kis ko khojtaa hai
saat qulzum hain mire siine mein
ek qatre se ubhaaraa thaa mujhe
ek bachcha zehn se paisa kamaane ki machine
dusraa kamzor thaa so yarghamaali ho gayaa
bahut chhoTaa safar thaa zindagi kaa
main apne ghar ke andar tak na pahunchaa