Shayari
muddat ke baa'd aaina kal saamne paDaa
dekhi jo apni shakl to chehra utar gayaa
yuun jaagne lage tiri yaadon ke silsile
suraj gali gali se nikaltaa dikhaai de
یوں جاگنے لگے تری یادوں کے سلسلے
سورج گلی گلی سے نکلتا دکھائی دے
यूँ जागने लगे तिरी यादों के सिलसिले
सूरज गली गली से निकलता दिखाई दे

muddat ke baa'd aaina kal saamne paDaa
dekhi jo apni shakl to chehra utar gayaa
vo kare baat to har lafz se khushbu aae
aisi boli vahi bole jise urdu aae
thak ke yuun pichhle pahar sau gayaa meraa ehsaas
raat bhar shahr mein aavaara phiraa ho jaise
judaai kyuun dilon ko aur bhi nazdik laati hai
bichhaD kar kyuun ziyaada pyaar kaa ehsaas hotaa hai
log hairat se mujhe dekh rahe hain aise
mere chehre pe koi naam likhaa ho jaise
muddat guzar gai hai ki dil ko sukun nahin
muddat guzar gai hai kisi kaa bhalaa kiye
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sayyaad teraa ghar mujhe jannat sahi magar
jannat se bhi sivaa mujhe raahat chaman mein thi
uThaa sakte nahin jab chuum kar hi chhoDnaa achchhaa
mohabbat kaa ye patthar is dafa bhaari ziyaada hai
us ko bhi yaad karne ki fursat na thi mujhe
masruf thaa main kuchh bhi na karne ke baavajud
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi