Shayari
kaun Dubegaa kise paar utarnaa hai 'zafar'
faisla vaqt ke dariyaa mein utar kar hogaa
un se meri baat na puchh
un se meri an-ban hai
ان سے میری بات نہ پوچھ
ان سے میری ان بن ہے
उन से मेरी बात न पूछ
उन से मेरी अन-बन है

kaun Dubegaa kise paar utarnaa hai 'zafar'
faisla vaqt ke dariyaa mein utar kar hogaa
jo reza reza nahin dil use nahin kahte
kahein na aaina us ko jo paara-paara nahin
ang ang se rang rang ke phuul baraste dekhe kaun
rang rang se shole barse kaise barse soche kaun
main makin huun na makaan shahr-e-mohabbat kaa 'zafar'
dil musaafir na kisi ghair ke ghar jaaegaa
kyuun tirgi se is qadar maanus huun 'zafar'
ik sham-e-rah-guzaar ki sahar tak jali bhi hai