Shayari
vo un kaa vaada vo ifaa-e-ahd kaa aalam
ki yaad bhi nahin aataa hai bhultaa bhi nahin
milegaa zulf-e-aazaadi unhein kyaa mausam-e-gul mein
qafas se chhuT kar gulshan mein jo be-baal-o-par aae
ملے گا زلف آزادی انہیں کیا موسم گل میں
قفس سے چھوٹ کر گلشن میں جو بے بال و پر آئے
मिलेगा ज़ुल्फ़-ए-आज़ादी उन्हें क्या मौसम-ए-गुल में
क़फ़स से छूट कर गुलशन में जो बे-बाल-ओ-पर आए

jism-e-aazaadi mein phunki tu ne majburi ki ruuh
khair jo chaahaa kiyaa ab ye bataa ham kyaa karein
qaatil tiri gali bhi badaun se kam nahin
jis ke qadam qadam pe mazaar-e-shahid hai
kin manzilon luTe hain mohabbat ke qaafile
insaan zamin pe aaj gharib-ul-vatan saa hai
royaa thaa kaun kaun mujhe kuchh khabar nahin
main us ghaDi vatan se kai miil duur thaa
aazaadiyon ke shauq o havas ne hamein 'adil'
ik ajnabi zamin kaa qaidi banaa diyaa
ik khun-chakaan kafan mein karoDon banaao hain
paDti hai aankh tere shahidon pe huur ki