Shayari
na de jo bosa-e-gesu na de javaab to de
balaa se jo tujhe denaa hai de shitaab to de
A
Alexandra Hedderly Azadnaved ai dil ki rafta rafta gayaa hai us kaa hijaab aadhaa
hazaar mushkil se baare rukh par se us ne ulTaa naqaab aadhaa
نوید اے دل کہ رفتہ رفتہ گیا ہے اس کا حجاب آدھا
ہزار مشکل سے بارے رخ پر سے اس نے الٹا نقاب آدھا
नवेद ऐ दिल कि रफ़्ता रफ़्ता गया है उस का हिजाब आधा
हज़ार मुश्किल से बारे रुख़ पर से उस ने उल्टा नक़ाब आधा
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
chaand ne taan li hai chaadar-e-abr
ab vo kapDe badal rahi hogi
havaa shaakhon mein rukne aur ulajhne ko hai is lamhe
guzarte baadalon mein chaand haail hone vaalaa hai
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
masjid mandir ke jhagDe to hote miTte rahte hain
dafn hain jis mein dil ke rishte us malbe ki baat karein