Shayari
bhule se aa gayaa huun farishton ke des mein
kis se pata karun ki yahaan fard kaun hai
tu ye na puchh mire gaanv mein hain ghar kitne
ye puchh kaun se ghar mein azaab kitne hain
تو یہ نہ پوچھ مرے گاؤں میں ہیں گھر کتنے
یہ پوچھ کون سے گھر میں عذاب کتنے ہیں
तू ये न पूछ मिरे गाँव में हैं घर कितने
ये पूछ कौन से घर में अज़ाब कितने हैं

bhule se aa gayaa huun farishton ke des mein
kis se pata karun ki yahaan fard kaun hai
har khushi dil se kyuun lagaa baiThein
kis mein gham ho pata nahin hotaa
bhiig jaane par bhi jo bujhtaa na thaa
aaj vo shoala dhuaan hone ko hai
machalti shokh maujon ko main apne naam kyuun likkhun
ki aakhir khushk hogaa mausam-e-barsaat kaa dariyaa
josh-e-takmil-e-tamannaa hai khudaa khair kare
khaak hone kaa andesha hai khudaa khair kare
phuul to kyaa khaar bhi manzur hain
be-rukhi se yuun magar pheinko nahin