Shayari
ek parda hai be-sabaati kaa
aaine aur tire jamaal ke biich
talaash-e-rizq kaa ye marhala ajab hai ki ham
gharon se duur bhi ghar ke liye base hue hain
تلاش رزق کا یہ مرحلہ عجب ہے کہ ہم
گھروں سے دور بھی گھر کے لیے بسے ہوئے ہیں
तलाश-ए-रिज़्क़ का ये मरहला अजब है कि हम
घरों से दूर भी घर के लिए बसे हुए हैं

ek parda hai be-sabaati kaa
aaine aur tire jamaal ke biich
tumhaare hijr mein marnaa thaa kaun saa mushkil
tumhaare hijr mein zinda hain ye kamaal kiyaa
abhi to main ne faqat baarishon ko jhelaa hai
ab is ke baa'd samundar bhi dekhnaa hai mujhe
ik baras ho gayaa use dekhe
ik sadi aa gai hai saal ke biich
banaa rahaa huun abhi ghar ko aaina-khaana
phir apne haath mein patthar bhi dekhnaa hai mujhe
havas na jaan tujhe chhu ke dekhnaa ye hai
tujhe hi dekh rahe hain ki khvaab dekhte hain