Shayari
ek parda hai be-sabaati kaa
aaine aur tire jamaal ke biich
havas na jaan tujhe chhu ke dekhnaa ye hai
tujhe hi dekh rahe hain ki khvaab dekhte hain
ہوس نہ جان تجھے چھو کے دیکھنا یہ ہے
تجھے ہی دیکھ رہے ہیں کہ خواب دیکھتے ہیں
हवस न जान तुझे छू के देखना ये है
तुझे ही देख रहे हैं कि ख़्वाब देखते हैं

ek parda hai be-sabaati kaa
aaine aur tire jamaal ke biich
talaash-e-rizq kaa ye marhala ajab hai ki ham
gharon se duur bhi ghar ke liye base hue hain
tumhaare hijr mein marnaa thaa kaun saa mushkil
tumhaare hijr mein zinda hain ye kamaal kiyaa
abhi to main ne faqat baarishon ko jhelaa hai
ab is ke baa'd samundar bhi dekhnaa hai mujhe
ik baras ho gayaa use dekhe
ik sadi aa gai hai saal ke biich
banaa rahaa huun abhi ghar ko aaina-khaana
phir apne haath mein patthar bhi dekhnaa hai mujhe
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
afsos umr kaT gai ranj-o-malaal mein
dekhaa na khvaab mein bhi jo kuchh thaa khayaal mein
jin ko nindon ki na ho chaadar nasib
un se khvaabon kaa hasin bistar na maang
niind aisi ki raat kam paD jaae
khvaab aisaa ki munh khulaa rah jaae