Shayari
nigaah-e-naaz ki maasumiyat are tauba
jo ham fareb na khaate to aur kyaa karte
ham to aavaara-e-sahraa hain hamein kyaa matlab
un ki mahfil mein junun ki koi tauqir sahi
ہم تو آوارۂ صحرا ہیں ہمیں کیا مطلب
ان کی محفل میں جنوں کی کوئی توقیر سہی
हम तो आवारा-ए-सहरा हैं हमें क्या मतलब
उन की महफ़िल में जुनूँ की कोई तौक़ीर सही

nigaah-e-naaz ki maasumiyat are tauba
jo ham fareb na khaate to aur kyaa karte
hamein to apni tabaahi ki daad bhi na mili
tiri navaazish-e-bejaa kaa kyaa gilaa karte
bahut aziiz na kyuun ho ki dard hai teraa
ye dard baDh ke rahaa iztiraab ho ke rahaa
mauquf fasl-e-gul pe nahin raunaq-e-chaman
nazrein javaan hon to khizaan bhi bahaar hai
ajiib chiiz hai ye shauq-e-aarzu-mandi
hayaat miT ke rahi dil kharaab ho ke rahaa