Shayari
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
chhalak rahi hai udaasi badan ke bartan se
ye bhar gayaa hai mujhe dusraa diyaa jaae
چھلک رہی ہے اداسی بدن کے برتن سے
یہ بھر گیا ہے مجھے دوسرا دیا جائے
छलक रही है उदासी बदन के बर्तन से
ये भर गया है मुझे दूसरा दिया जाए

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
ham haal to kah sakte hain apnaa pa kahein kyaa
jab vo idhar aate hain to tanhaa nahin aate
main ne apni palkon par gham-kade sajaae hain
aarzu ke maatam mein sogvaar hasti hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin