Shayari
dushmanon se pashemaan honaa paDaa hai
doston kaa khulus aazmaane ke baad
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
غم ہے نہ اب خوشی ہے نہ امید ہے نہ یاس
سب سے نجات پائے زمانے گزر گئے
ग़म है न अब ख़ुशी है न उम्मीद है न यास
सब से नजात पाए ज़माने गुज़र गए

dushmanon se pashemaan honaa paDaa hai
doston kaa khulus aazmaane ke baad
ham pe guzraa hai vo bhi vaqt 'khumaar'
jab shanaasaa bhi ajnabi se mile
na to hosh se taaaruf na junun se aashnaai
ye kahaan pahunch gae hain tiri bazm se nikal ke
ye kahnaa thaa un se mohabbat hai mujh ko
ye kahne mein mujh ko zamaane lage hain
phuul kar le nibaah kaanTon se
aadmi hi na aadmi se mile
jaam-ba-dast-o-mai-ba-jaam yuun hi guzaar subh-o-shaam
ziist ki talkhiyaan mudaam pi ke pilaa ke bhuul jaa
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ab ke safar mein dard ke pahlu ajiib hain
jo log ham-khayaal na the ham-safar hue
chalnaa likhaa hai apne muqaddar mein umr bhar
manzil hamaari dard ki raahon mein gum hui
palaT ke aae na aae koi sune na sune
sadaa kaa kaam fazaaon mein gunjte tak hai
sadaa-e-shahr fusun hai nazar na dar se haTaa
vo misl-e-sang huaa jis ne lauT kar dekhaa