Shayari
'mir' ji ishq maanaa ki neamat nahin par main is ko balaa bhi nahin maantaa
maantaa huun khudaa-e-sukhan bhi tumhein aur hukm-e-khudaa bhi nahin maantaa
ab ke mili shikast miri or se mujhe
jitvaa diyaa gayaa kisi kamzor se mujhe
اب کے ملی شکست مری اور سے مجھے
جتوا دیا گیا کسی کمزور سے مجھے
अब के मिली शिकस्त मिरी ओर से मुझे
जितवा दिया गया किसी कमज़ोर से मुझे

'mir' ji ishq maanaa ki neamat nahin par main is ko balaa bhi nahin maantaa
maantaa huun khudaa-e-sukhan bhi tumhein aur hukm-e-khudaa bhi nahin maantaa
main ne qubul kar liyaa chup chaap vo gulaab
jo shaakh de rahi thi tiri or se mujhe
khataaein is liye kartaa huun main ki jaantaa huun
sazaa mujhe hi milegi khataa karun na karun
haath bhar duuri pe hai qismat ki chaabi aap ki
ek chhoTaa saa qadam aur kaamyaabi aap ki
koi khat-vat nahin phaaDaa koi tohfa nahin toDaa
ki vo dekhe to khud soche ki dil toDaa nahin toDaa
charaagh raushan zarur kar to par is se pahle khudaa ki khaatir
yahaan pe phailaa hai jo andheraa sameT zer-e-charaagh rakh de