Shayari
ab ke mili shikast miri or se mujhe
jitvaa diyaa gayaa kisi kamzor se mujhe
main ne qubul kar liyaa chup chaap vo gulaab
jo shaakh de rahi thi tiri or se mujhe
میں نے قبول کر لیا چپ چاپ وہ گلاب
جو شاخ دے رہی تھی تری اور سے مجھے
मैं ने क़ुबूल कर लिया चुप चाप वो गुलाब
जो शाख़ दे रही थी तिरी ओर से मुझे

ab ke mili shikast miri or se mujhe
jitvaa diyaa gayaa kisi kamzor se mujhe
'mir' ji ishq maanaa ki neamat nahin par main is ko balaa bhi nahin maantaa
maantaa huun khudaa-e-sukhan bhi tumhein aur hukm-e-khudaa bhi nahin maantaa
khataaein is liye kartaa huun main ki jaantaa huun
sazaa mujhe hi milegi khataa karun na karun
haath bhar duuri pe hai qismat ki chaabi aap ki
ek chhoTaa saa qadam aur kaamyaabi aap ki
koi khat-vat nahin phaaDaa koi tohfa nahin toDaa
ki vo dekhe to khud soche ki dil toDaa nahin toDaa
charaagh raushan zarur kar to par is se pahle khudaa ki khaatir
yahaan pe phailaa hai jo andheraa sameT zer-e-charaagh rakh de
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
but-paraston kuun hai imaan-e-haqiqi vasl-e-but
barg-e-gul hai bulbulon kuun jald-e-quraan-e-majid
tujh zulf mein dil ne gum kiyaa raah
is prem gali kuun intihaa naiin
hazaaron saal nargis apni be-nuri pe roti hai
baDi mushkil se hotaa hai chaman mein dida-var paidaa