Shayari
dekho to kaam ek bhi ham ne kahaan kiyaa
puchho to ek pal ki bhi fursat nahin rahi
dekho darakht kaaTne se pahle ek baar
in sabz Tahniyon pe koi ghonsla na ho
دیکھو درخت کاٹنے سے پہلے ایک بار
ان سبز ٹہنیوں پہ کوئی گھونسلہ نہ ہو
देखो दरख़्त काटने से पहले एक बार
इन सब्ज़ टहनियों पे कोई घोंसला न हो

dekho to kaam ek bhi ham ne kahaan kiyaa
puchho to ek pal ki bhi fursat nahin rahi
mujh ko saphaltaa baiThe biThaae nahin mili
main ne guhar talaashe hain dariyaa khangaal kar
maraasim barf mein dabne na paaein
qarib aao december aa rahaa hai
kar ke taarif vo miri jhuTi
zahr dhimaa chaTaa gayaa hai mujhe
haaT pe kyaa biktaa thaa ham ko kyaa matlab
apni jeb mein bas khvaabon ke sikke the
shaairi naam tasavvur mein chhalakti mai kaa
mar hi jaate jo na piine ki ijaazat hoti