Shayari
dekho to kaam ek bhi ham ne kahaan kiyaa
puchho to ek pal ki bhi fursat nahin rahi
mujh ko saphaltaa baiThe biThaae nahin mili
main ne guhar talaashe hain dariyaa khangaal kar
مجھ کو سپھلتا بیٹھے بٹھائے نہیں ملی
میں نے گہر تلاشے ہیں دریا کھنگال کر
मुझ को सफलता बैठे बिठाए नहीं मिली
मैं ने गुहर तलाशे हैं दरिया खँगाल कर

dekho to kaam ek bhi ham ne kahaan kiyaa
puchho to ek pal ki bhi fursat nahin rahi
dekho darakht kaaTne se pahle ek baar
in sabz Tahniyon pe koi ghonsla na ho
maraasim barf mein dabne na paaein
qarib aao december aa rahaa hai
kar ke taarif vo miri jhuTi
zahr dhimaa chaTaa gayaa hai mujhe
haaT pe kyaa biktaa thaa ham ko kyaa matlab
apni jeb mein bas khvaabon ke sikke the
shaairi naam tasavvur mein chhalakti mai kaa
mar hi jaate jo na piine ki ijaazat hoti
mujid jo nuur kaa hai vo meraa charaagh hai
parvaana huun main anjuman-e-kaaenaat kaa
ham kaaenaat-e-sidq ko saanche mein Dhaal kar
doshiza-e-zabaan ki viraasat mein laae hain
'naadir' tum apni pyaas kahaan le ke aa gae
qatre udhaar maang ke dariyaa bane hain log
pahaaD jaisi azmaton kaa daakhila thaa shahr mein
ki log aagahi kaa ishtihaar le ke chal diye
tum us ke paas ho jis ko tumhaari chaah na thi
kahaan pe pyaas thi dariyaa kahaan banaayaa gayaa
bahaknaa meri fitrat mein nahin par
sambhalne mein pareshaani bahut hai