Shayari
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
dusron ke vaaste jiite rahe marte rahe
khub-sirat log the raaz-e-mohabbat paa gae
دوسروں کے واسطے جیتے رہے مرتے رہے
خوب سیرت لوگ تھے راز محبت پا گئے
दूसरों के वास्ते जीते रहे मरते रहे
ख़ूब-सीरत लोग थे राज़-ए-मोहब्बत पा गए

sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
shaam hai ye vaade ki ishq ke iraade ki
ik javaan saa sannaaTaa ik hasin khaamoshi