Shayari
kahne ki to baat nahin hai lekin kahni paDti hai
dil ki nagri mein mat jaanaa jo jaae pachhtaae
'maajid' khudaa ke vaaste kuchh der ke liye
ro lene de akelaa mujhe apne haal par
ماجدؔ خدا کے واسطے کچھ دیر کے لیے
رو لینے دے اکیلا مجھے اپنے حال پر
'माजिद' ख़ुदा के वास्ते कुछ देर के लिए
रो लेने दे अकेला मुझे अपने हाल पर

kahne ki to baat nahin hai lekin kahni paDti hai
dil ki nagri mein mat jaanaa jo jaae pachhtaae
logon ne aakaash se unchaa jaa kar tamghe paae
ham ne apnaa antar khojaa divaane kahlaae
kal jo main ne jhaank ke dekhaa us ki niili aankhon mein
us ke dil kaa zakhm to 'maajid' saagar se bhi gahraa hai
us kaa chehraa udaas hai 'maajid'
aaine par nazar gai hogi
naaz kar naaz tire naaz pe hai naaz mujhe
meri tanhaai hai partav tiri yaktaai kaa
yaar tanhaa ghar mein hai afsos lekin ham nahin
huur to hai gulshan-e-firdaus mein aadam nahin
khalq be-parvaa khudaa bandon se tang aayaa huaa
main akelaa phir rahaa huun hashr ke maidaan mein
ek lamhe ke liye tanhaa nahin hone diyaa
khud ko apne saath rakkhaa jis jahaan ki sair ki
mujhe ai rahnumaa ab chhoD tanhaa
main khud ko aazmaanaa chaahtaa huun
raat bhar tanhaa rahaa din bhar akelaa main hi thaa
shahr ki aabaadiyon mein apne jaisaa main hi thaa