Shayari
khudaa jaane girebaan kis ke hain aur haath kis ke hain
andhere mein kisi ki shakl pahchaani nahin jaati
ab itni zor se har ghar pe dastakein denaa
agar javaab na aae to dar nikal jaae
اب اتنی زور سے ہر گھر پہ دستکیں دینا
اگر جواب نہ آئے تو در نکل جائے
अब इतनी ज़ोर से हर घर पे दस्तकें देना
अगर जवाब न आए तो दर निकल जाए

khudaa jaane girebaan kis ke hain aur haath kis ke hain
andhere mein kisi ki shakl pahchaani nahin jaati
khvaahishon ke peD se girte hue patte na chun
zindagi ke sehn mein ummid kaa paudaa lagaa
raat bhar koi na darvaaza khulaa
dastakein deti rahi paagal havaa
pheink de baahar ki jaanib apne andar ki ghuTan
apni aankhon ko lagaa de ghar ki har khiDki ke saath
miri khvaahish hai duniyaa ko bhi apne saath le aauun
bulandi ki taraf lekin kabhi pasti nahin jaati