Shayari
chaand hain na taare hain aasmaan ke aangan mein
raqs karte hain shoale ab to shab ke daaman mein
nazar aati nahin saDkon pe laashein
amir-e-shahr andhaa ho gayaa hai
نظر آتی نہیں سڑکوں پہ لاشیں
امیر شہر اندھا ہو گیا ہے
नज़र आती नहीं सड़कों पे लाशें
अमीर-ए-शहर अंधा हो गया है

jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
ham haal to kah sakte hain apnaa pa kahein kyaa
jab vo idhar aate hain to tanhaa nahin aate
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
main ne apni palkon par gham-kade sajaae hain
aarzu ke maatam mein sogvaar hasti hai