Shayari
tu miri raah mein kyuun haail hai
ek umDe hue dariyaa ki tarah
teri duniyaa mein tire husn kaa shaidaai huun
ai khudaa mujh ko gunahgaar na samjhaa jaae
تیری دنیا میں ترے حسن کا شیدائی ہوں
اے خدا مجھ کو گنہ گار نہ سمجھا جائے
तेरी दुनिया में तिरे हुस्न का शैदाई हूँ
ऐ ख़ुदा मुझ को गुनहगार न समझा जाए

tu miri raah mein kyuun haail hai
ek umDe hue dariyaa ki tarah
dil jahaan le jaae dil ke saath jaanaa chaahiye
is se baDh kar aur koi rahnumaa hotaa nahin
ab to tere husn ki har anjuman mein dhuum hai
jis ne meraa haal dekhaa teraa divaana huaa
teri duuri bhi hai mushkil tiri qurbat bhi muhaal
kis qadar tu ne miri jaan sataayaa hai mujhe
ai khudaa tu hi be-misaal nahin
main bhi huun kaaenaat mein tanhaa