Shayari
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
chand shaair hain jo is shahr mein mil baiThte hain
varna logon mein vo nafrat hai ki dil baiThte hain
چند شاعر ہیں جو اس شہر میں مل بیٹھتے ہیں
ورنہ لوگوں میں وہ نفرت ہے کہ دل بیٹھتے ہیں
चंद शाइ'र हैं जो इस शहर में मिल बैठते हैं
वर्ना लोगों में वो नफ़रत है कि दिल बैठते हैं

main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
kis qadar dil se faraamosh kiyaa aashiq ko
na kabhi aap ko bhule se bhi main yaad aayaa
ek hansti hui badli dekhi
ek jaltaa huaa ghar yaad aayaa
tum kaho tum bhi taDapte ho ta'alluq ke taiin
yaa mire hi dil-e-bismil ki ye bimaari hai