Shayari
kisi ke dil mein utarnaa hai kaar-e-laa-haasil
ki saari dhuup to hai aaftaab se baahar
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
بدلتے وقت نے بدلے مزاج بھی کیسے
تری ادا بھی گئی میرا بانکپن بھی گیا
बदलते वक़्त ने बदले मिज़ाज भी कैसे
तिरी अदा भी गई मेरा बाँकपन भी गया

kisi ke dil mein utarnaa hai kaar-e-laa-haasil
ki saari dhuup to hai aaftaab se baahar
tumhaari yaad nikalti nahin mire dil se
nasha chhalaktaa nahin hai sharaab se baahar
jin ko chhu kar kitne 'zaidi' apni jaan ganvaa baiThe
mere ahd ki shahnaazon ke jism baDe zahrile the
phir vahi shaam vahi dard vahi apnaa junun
jaane kyaa yaad thi vo jis ko bhulaae gae ham
bichhaD ke tujh se tiri yaad bhi nahin aai
makaan ki samt palaT kar makin nahin aayaa
usi ne chaand ke pahlu mein ik charaagh rakhaa
usi ne dasht ke zarron ko aaftaab kiyaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
dil-e-haris hi apnaa na ho sakaa qaane
vagarna tere karam mein to kuchh kami na rahi
baadalon ne aaj barsaayaa lahu
amn kaa har faakhta rone lagaa
main vo sahraa jise paani ki havas le Duubi
tu vo baadal jo kabhi TuuT ke barsaa hi nahin
gar nahin ye 'ishq to phir aur kyaa shai hai bhalaa
jo pas-e-parda rahe aur qalb meraa khaae hai