Shayari
aur bhi to hain zamaane mein tumhaare aashiq
ek main hi tumhein kyaa qaabil-e-ilzaam milaa
mazaa hai tire bismilon ko taDap mein
taDap mein nahin bismilon mein mazaa hai
مزا ہے ترے بسملوں کو تڑپ میں
تڑپ میں نہیں بسملوں میں مزا ہے
मज़ा है तिरे बिस्मिलों को तड़प में
तड़प में नहीं बिस्मिलों में मज़ा है

aur bhi to hain zamaane mein tumhaare aashiq
ek main hi tumhein kyaa qaabil-e-ilzaam milaa
vahi nazar mein hai lekin nazar nahin aataa
samajh rahaa huun samajh mein magar nahin aataa
raqib donon jahaan mein zalil kyuun hotaa
kisi ke biich mein kam-bakht agar nahin aataa
vo ab kyaa khaak aae haae qismat mein tarasnaa thaa
tujhe ai abr-e-rahmat aaj hi itnaa barasnaa thaa
mohabbat mein kyaa kyaa na kuchh jaur hogaa
abhi kyaa huaa hai abhi aur hogaa
apnaa khat aap diyaa un ko magar ye kah kar
khat to pahchaaniye ye khat mujhe gumnaam milaa