Shayari
aaj kyaa jaane vo kyuun aaraam-e-jaan aayaa nahin
harf-e-ranjish kal to koi darmiyaan aayaa nahin
yahi to kufr hai yaaraan-e-be-khudi ke huzur
jo kufr-o-din kaa mire yaar imtiyaaz rahaa
یہی تو کفر ہے یاران بے خودی کے حضور
جو کفر و دیں کا مرے یار امتیاز رہا
यही तो कुफ़्र है यारान-ए-बे-ख़ुदी के हुज़ूर
जो कुफ़्र-ओ-दीं का मिरे यार इम्तियाज़ रहा

aaj kyaa jaane vo kyuun aaraam-e-jaan aayaa nahin
harf-e-ranjish kal to koi darmiyaan aayaa nahin
khul gayaa ab ye ki vasl us kaa khayaal-e-khaam hai
aaj ummidon kaa dil hi dil mein qatl-e-aam hai
na kar ai 'lutf' naahaq rahravaan-e-dair se hujjat
yahi rasta to khaa kar pher hai kaabe ko jaa niklaa
kyaa sabab batlaaein hanste hanste baaham ruk gae
khud-bakhud kuchh vo khinche idhar udhar ham ruk gae
begaanon ne kabhi na vo kaanon sunaai baat
afsos aashnaa ne jo aankhon dikhaai baat
huaa aavaara hindostaan se 'lutf' aage khudaa jaane
deccan ke saanvlon ne maaraa yaa inglan ke goron ne
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
kaanTe se bhi nichoD li ghairon ne bu-e-gul
yaaron ne bu-e-gul se bhi kaanTaa banaa diyaa
aql kahti hai dobaara aazmaanaa jahl hai
dil ye kahtaa hai fareb-e-dost khaate jaaiye
aaina khud bhi sanvartaa thaa hamaari khaatir
ham tire vaaste tayyaar huaa karte the
ye vaqt kaifiyaat se bhartaa nahin kabhi
ye jaam ikhtiyaar nahin kar rahaa huun main
zindagi sundar ghazal hai dosto
zindagi ko gungunaanaa chaahiye