Shayari
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
کیوں تصور میں جی رہا ہوں میں
جب حقیقت میں مر ہی جانا ہے
क्यों तसव्वुर में जी रहा हूँ मैं
जब हक़ीक़त में मर ही जाना है

apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
tumhaaraa baagh se jaanaa bhi ik qayaamat hai
gulon se khushbu gai aur phalon se ras bhi gayaa
safar kaa ek nayaa silsila banaanaa hai
ab aasmaan talak raasta banaanaa hai
mujhe ye zid hai kabhi chaand ko asiir karun
so ab ke jhiil mein ik daaera banaanaa hai
hamein anjaam bhi maalum hai lekin na jaane kyuun
charaaghon ko havaaon se bachaanaa chaahte hain ham
ishq ki raah mein yuun had se guzar mat jaanaa
hon ghaDe kachche to dariyaa mein utar mat jaanaa