Shayari
phir usi bevafaa pe marte hain
phir vahi zindagi hamaari hai
haan ai falak-e-pir javaan thaa abhi aarif
kyaa teraa bigaDtaa jo na martaa koi din aur
ہاں اے فلک پیر جواں تھا ابھی عارف
کیا تیرا بگڑتا جو نہ مرتا کوئی دن اور
haañ ai falak-e-pīr javāñ thā abhī aarif
kyā terā bigaḌtā jo na martā koī din aur

Mirza Asadullah Baig Khan, known by his pen name Ghalib, was a renowned Urdu and Persian poet during the last years of the Mughal Empire.
Mirza Asadullah Baig Khan, known by his pen name Ghalib, was a renowned Urdu and Persian poet during the last years of the Mughal Empire.
1797–1869
View all quotes by Mirza Ghalibphir usi bevafaa pe marte hain
phir vahi zindagi hamaari hai
umr bhar dekhaa kiye marne ki raah
mar gae par dekhiye dikhlaaein kyaa
saadgi o purkaari be-khudi o hushyaari
husn ko taghaaful mein jurat-aazmaa paayaa
girni thi ham pe barq-e-tajalli na tuur par
dete hain baada zarf-e-qadah-khvaar dekh kar
naakaami-e-nigaah hai barq-e-nazaaraa-soz
tu vo nahin ki tujh ko tamaashaa kare koi
marte hain aarzu mein marne ki
maut aati hai par nahin aati
hai parda-e-falak mein ye kaisaa siyah shigaaf
dekho to koi jhaank rahaa hai zamin ki or
barson se ghumtaa hai isi tarah raat din
lekin zamin milti nahin aasmaan ko
sitaara aankh mein dil mein gulaab kyaa rakhnaa
ki Dhalti umr mein rang-e-shabaab kyaa rakhnaa
sab sitaare dilaasa dete hain
chaand raaton ko chikhtaa hai bahut
hamaare haath faqat ret ke sadaf aae
ki saahilon pe sitaara koi rahaa hi na thaa
bikhertaa hai raushni ridaa-e-aasmaan se vo
sitaare jaise oDhni mein paD gae hon daagh se