Shayari
rang badlaa huaa thaa phulon kaa
tum yaqinan udaas guzre the
tiri lab-kushaai pe munhasir miri zindagaani hai dostaa
tiraa bolnaa bhi qubul hai tiri khaamushi bhi aziiz hai
تری لب کشائی پہ منحصر مری زندگانی ہے دوستا
ترا بولنا بھی قبول ہے تری خامشی بھی عزیز ہے
तिरी लब-कुशाई पे मुनहसिर मिरी ज़िंदगानी है दोस्ता
तिरा बोलना भी क़ुबूल है तिरी ख़ामुशी भी अज़ीज़ है

rang badlaa huaa thaa phulon kaa
tum yaqinan udaas guzre the
bin dekhe bhi chain nahin hai 'mustahsan'
dekhun to saari binaai jaati hai
lutf ki in pe koi khaas nazar hai ki nahin
apne maston ki koi khair-khabar hai ki nahin
sivaae is ke koi bhi masrufiyat nahin hai
main in dinon bas charaagh taqsim kar rahaa huun
duniyaa ke qaafile mein ravaana hain is liye
ham bhi munaafiqin ki pahchaan kar sakein
ham talvaar uThaa nahin paae
ham aavaaz uThaa sakte the
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
vafaa ki aaD mein kyaa kyaa hui jafaa ham par
jo dosti yahi Thahri to dushmani kyaa hai
kuchh be-adabi aur shab-e-vasl nahin ki
haan yaar ke rukhsaar pe rukhsaar to rakkhaa
jahaan mein ham jise bhi pyaar ke qaabil samajhte hain
haqiqat mein usi ko ziist kaa haasil samajhte hain
ik bevafaa ke pyaar mein had se guzar gae
kaafir ke pyaar ne hamein kaafir banaa diyaa
makaan to hai nahin jo khinch dein divaar is dil mein
koi duujaa nahin rah paaegaa ab yaar is dil mein