Shayari
kisi ko dil se bhulaane mein der lagti hai
ye kapDe kamre ke andar sukhaane paDte hain
tum sharaafat kahaan baazaar mein le aae ho
ye vo sikka hai jo barson se nahin chaltaa hai
تم شرافت کہاں بازار میں لے آئے ہو
یہ وہ سکہ ہے جو برسوں سے نہیں چلتا ہے
तुम शराफ़त कहाँ बाज़ार में ले आए हो
ये वो सिक्का है जो बरसों से नहीं चलता है

kisi ko dil se bhulaane mein der lagti hai
ye kapDe kamre ke andar sukhaane paDte hain
sardi aur garmi ke uzr nahin chalte
mausam dekh ke saahab ishq nahin hotaa
dil ek hai to kai baar kyuun lagaayaa jaae
bas ek ishq bahut hai agar nibhaayaa jaae
nae tarz ki colony mein sab kuchh ek saa hai
apnaa ghar bhi haath baDi mushkil se aataa hai
umr bhar ko miraa honaa bhi nahin chaahtaa vo
mujh ko aasaani se khonaa bhi nahin chaahtaa vo
us se milne ki khushi baa'd mein dukh deti hai
jashn ke baa'd kaa sannaaTaa bahut khaltaa hai