Shayari
kisi ko dil se bhulaane mein der lagti hai
ye kapDe kamre ke andar sukhaane paDte hain
dil ek hai to kai baar kyuun lagaayaa jaae
bas ek ishq bahut hai agar nibhaayaa jaae
دل ایک ہے تو کئی بار کیوں لگایا جائے
بس ایک عشق بہت ہے اگر نبھایا جائے
दिल एक है तो कई बार क्यूँ लगाया जाए
बस एक इश्क़ बहुत है अगर निभाया जाए

kisi ko dil se bhulaane mein der lagti hai
ye kapDe kamre ke andar sukhaane paDte hain
sardi aur garmi ke uzr nahin chalte
mausam dekh ke saahab ishq nahin hotaa
nae tarz ki colony mein sab kuchh ek saa hai
apnaa ghar bhi haath baDi mushkil se aataa hai
umr bhar ko miraa honaa bhi nahin chaahtaa vo
mujh ko aasaani se khonaa bhi nahin chaahtaa vo
tum sharaafat kahaan baazaar mein le aae ho
ye vo sikka hai jo barson se nahin chaltaa hai
us se milne ki khushi baa'd mein dukh deti hai
jashn ke baa'd kaa sannaaTaa bahut khaltaa hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
taDapnaa gungunaanaa aah bharnaa dasht-paimaai
dil-e-shaair ki kuchh ranginiyaan hain mere hisse mein
ishq mein bu hai kibriyaai ki
aashiqi jis ne ki khudaai ki
ishq ne mansab likhe jis din miri taqdir mein
daagh ki naqadi mili sahraa milaa jaagir mein